intibah
hinDolā jhūlne vaale
zamīñ se kaT ke ūñchā jhūlne kī chaah rakhte haiñ to phir jhūleñ
magar ye yaad rakkheñ
zamīñ se kaT ke ūñchā jhūlne vaale fazāoñ meñ muallaq hī raheñge
jhulāne vaale ke rahm-o-karam par dā.ere-dar-dā.ere gardish kareñge
aur zamīñ par lauT kar bhī be-zamīnī ke alam sahte raheñge
hinDolā jhūlne vaale
zamīñ se kaT ke ūñchā jhūlne kī chaah rakhte haiñ
to phir jhūleñ magar ye yaad rakkheñ
hinDola jhulne wale
zamin se kaT ke uncha jhulne ki chah rakhte hain to phir jhulen
magar ye yaad rakkhen
zamin se kaT ke uncha jhulne wale fazaon mein muallaq hi rahenge
jhulane wale ke rahm-o-karam par daere-dar-daere gardish karenge
aur zamin par lauT kar bhi be-zamini ke alam sahte rahenge
hinDola jhulne wale
zamin se kaT ke uncha jhulne ki chah rakhte hain
to phir jhulen magar ye yaad rakkhen
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.