intibah
gaaḌī khīñchnā
aur chalāte rakhnā
do muḳhtalif rau meñ
bāham rabt-o-rāh ke nasheb-o-farāz
raftār ko muta.assir karte haiñ
muzāhimat kī sūrat meñ
break lagāne meñ hī āfiyat hai
kyūñki madd-e-muqābil ko apnī raftār par qaabū nahīñ agarche
aap ko to apnī jaan aziiz hai
raftār par control kā ravayya
zindagī ko sahl aur āsān banātā hai
aur yahī
zindagī karne kā qarīna bhī hai
gaDi khinchna
aur chalate rakhna
do muKHtalif rau mein
baham rabt-o-rah ke nasheb-o-faraaz
raftar ko mutassir karte hain
muzahimat ki surat mein
break lagane mein hi aafiyat hai
kyunki madd-e-muqabil ko apni raftar par qabu nahin agarche
aap ko to apni jaan aziz hai
raftar par control ka rawayya
zindagi ko sahl aur aasan banata hai
aur yahi
zindagi karne ka qarina bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.