intibah
sitam-nasībān-e-sarzamīñ ko payām pahuñchā diyā gayā hai
nigūñ-sarī kā qayām hogā
sabhī nigāheñ jhukī raheñgī
har ek gardan pe teġh hogī
har ek shah-rag pe hoñge nāḳhun
ki shahar jab tak nigūñ na hogā
kamān tab tak tanī rahegī
hamārī aglī hidāyatoñ tak
har ek jumbish thamī rahegī
zamīn-zāde ki intibāh ḳhudā kī marzī samajh chuke haiñ
so ab zabānoñ pe ḳhāmushī hai so ab muqaddar meñ gāliyāñ haiñ
charāġh gum haiñ ki chāroñ jānib añdherī rātoñ kī āñdhiyāñ haiñ
hamāre hisse meñ apne dukh par bhī qahqahe haiñ yā tāliyāñ haiñ
sitam-nasiban-e-sarzamin ko payam pahuncha diya gaya hai
nigun-sari ka qayam hoga
sabhi nigahen jhuki rahengi
har ek gardan pe tegh hogi
har ek shah-rag pe honge naKHun
ki shahar jab tak nigun na hoga
kaman tab tak tani rahegi
hamari agli hidayaton tak
har ek jumbish thami rahegi
zamin-zade ki intibah KHuda ki marzi samajh chuke hain
so ab zabanon pe KHamushi hai so ab muqaddar mein galiyan hain
charagh gum hain ki chaaron jaanib andheri raaton ki aandhiyan hain
hamare hisse mein apne dukh par bhi qahqahe hain ya taliyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.