intiha
phir aaj yaas kī tārīkiyoñ meñ Duub ga.ii!
vo ik navā jo sitāroñ ko chuum saktī thī
sukūt-e-shab ke tasalsul meñ kho ga.ī chup-chāp
jo yaad vaqt ke mehvar pe ghuum saktī thī
abhī abhī mirī tanhā.iyoñ ne mujh se kahā
koī sambhāl le mujh ko, koī kahe mujh se
abhī abhī ki maiñ yuuñ DhūñDhtā thā rāh-e-farār
pata chalā ki mire ashk chhin ga.e mujh se
phir aaj yas ki tarikiyon mein Dub gai!
wo ek nawa jo sitaron ko chum sakti thi
sukut-e-shab ke tasalsul mein kho gai chup-chap
jo yaad waqt ke mehwar pe ghum sakti thi
abhi abhi meri tanhaiyon ne mujh se kaha
koi sambhaal le mujh ko, koi kahe mujh se
abhi abhi ki main yun DhunDhta tha rah-e-farar
pata chala ki mere ashk chhin gae mujh se
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Roshni) (Pg. 51)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.