intiKHabaat
inqilābāt hone vaale haiñ
intiḳhābāt hone vaale haiñ
jaise hālāt the kabhī pahle
vaise hālāt hone vaale haiñ
bhaa.ī bhaa.ī meñ baap beTe meñ
iḳhtilāfāt hone vaale haiñ
zer dastoñ ke zor dastoñ se
ek do haat hone vaale haiñ
bar-sar-e-ām raaz khulte haiñ
inkishāfāt hone vaale haiñ
jalsa-gāhoñ meñ māh-pāroñ meñ
ittifāqāt hone vaale haiñ
phir machaltā hai dil ki sach kah deñ
phir havālāt hone vaale haiñ
inqilabaat hone wale hain
intiKHabaat hone wale hain
jaise haalat the kabhi pahle
waise haalat hone wale hain
bhai bhai mein bap beTe mein
iKHtilafat hone wale hain
zer daston ke zor daston se
ek do hat hone wale hain
bar-sar-e-am raaz khulte hain
inkishafat hone wale hain
jalsa-gahon mein mah-paron mein
ittifaqat hone wale hain
phir machalta hai dil ki sach kah den
phir hawalat hone wale hain
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 118)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.