intiqam
jab rāheñ sab masdūd huiiñ
sab niist huiiñ nābūd huiiñ
dushman ko khojte phirne kī
thiiñ kāvisheñ jo
be-sūd huiiñ
paspā.iyāñ jo maujūd na thiiñ
ik aan meñ aa maujūd huiiñ
maiñ soch ke ik dorāhe par
hairāñ āzurda aa pahuñchā
ye saarī tag-o-dau tanhā thī
is moḌ pe bhī tanhā pahuñchā
lekin is tanhā manzar meñ
ik chehra aur ubhar aayā
jo saaf nazar aayā na kabhī
ab itne qarīb nazar aayā
vo chehrā dushman kā chehrā
is ruup meñ pahlī baar milā
kabhī zaat ke har manzar meñ mire
kabhī manzar ke us paar milā
maiñ ḳhuub use pahchān gayā
jis ruup meñ vo jis baar milā
phir apne dil pe nazar jo kī
āmāda pa.e-paikār milā
phir maiñ ne kisī tāḳhīr binā
ik vaar bahut saffāk kiyā
ḳhud apnā garebāñ chaak kiyā
jab rahen sab masdud huin
sab nist huin nabud huin
dushman ko khojte phirne ki
thin kawishen jo
be-sud huin
paspaiyan jo maujud na thin
ek aan mein aa maujud huin
main soch ke ek dorahe par
hairan aazurda aa pahuncha
ye sari tag-o-dau tanha thi
is moD pe bhi tanha pahuncha
lekin is tanha manzar mein
ek chehra aur ubhar aaya
jo saf nazar aaya na kabhi
ab itne qarib nazar aaya
wo chehra dushman ka chehra
is rup mein pahli bar mila
kabhi zat ke har manzar mein mere
kabhi manzar ke us par mila
main KHub use pahchan gaya
jis rup mein wo jis bar mila
phir apne dil pe nazar jo ki
aamada pae-paikar mila
phir main ne kisi taKHir bina
ek war bahut saffak kiya
KHud apna gareban chaak kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.