Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intisab

Faiz Ahmad Faiz

intisab

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    aaj ke naam

    aur

    aaj ke ġham ke naam

    aaj ġham ki hai zindagī ke bhare gulsitāñ se ḳhafā

    zard pattoñ ban

    zard pattoñ ban jo mirā des hai

    dard anjuman jo mirā des hai

    clerkoñ afsurda jānoñ ke naam

    kirm-ḳhurda diloñ aur zabānoñ ke naam

    post-manoñ ke naam

    tāñge vāloñ naam

    rail-bānoñ ke naam

    kār-ḳhānoñ ke bhūke jiyāloñ ke naam

    bādshāh-e-jahāñ vālī-e-mā-sivā, nā.eb-ul-allāh fil-arz

    dahqāñ ke naam

    jis ke Dhoroñ ko zālim hañkā le ga.e

    jis beTī ko Daaku uThā le ga.e

    haath bhar khet se ek añgusht paTvār ne kaaT hai

    dūsrī māliye ke bahāne se sarkār ne kaaT hai

    jis pag zor vāloñ ke pāñv-tale

    dhajjiyāñ ho ga.ī hai

    un dukhī maaoñ ke naam

    raat meñ jin ke bachche bilakte haiñ aur

    niiñd maar khaa.e hue bāzuoñ meñ sambhalte nahīñ

    dukh batāte nahīñ

    minnatoñ zāriyoñ se bahalte nahīñ

    un hasīnāoñ ke naam

    jin āñkhoñ ke gul

    chilmanoñ aur darīchoñ beloñ pe be-kār khil khil ke

    murjhā ga.e haiñ

    un biyāhtāoñ ke naam

    jin ke badan

    be mohabbat riyā-kār sejoñ pe saj saj ke uktā ga.e haiñ

    bevāoñ ke naam

    kaTḌiyoñ aur galiyoñ mohalloñ ke naam

    jin nāpāk ḳhāshāk se chāñd rātoñ

    ko aa aa ke kartā hai aksar vazū

    jin ke sāyoñ meñ kartī hai āh-o-bukā

    āñchaloñ hinā

    chūḌiyoñ khanak

    kākuloñ mahak

    ārzū-mand sīnoñ apne pasīne meñ julne

    paḌhne vāloñ ke naam

    vo jo as.hāb-e-tabal-o-alam

    ke daroñ par kitāb aur qalam

    taqāzā liye haath phailā.e

    vo ma.asūm jo bhole-pan meñ

    vahāñ apne nanhe charāġhoñ meñ lau lagan

    le ke pahuñche jahāñ

    baT rahe the ghaTā-Top be-ant rātoñ ke saa.e

    un asīroñ ke naam

    jin ke sīnoñ meñ fardā ke shab-tāb gauhar

    jel-ḳhānoñ shorīda rātoñ sarsar meñ

    jal jal ke anjum-numā hoga.e haiñ

    aane vaale dinoñ ke safīroñ ke naam

    vo jo ḳhushbū-e-gul tarah

    apne paiġhām par ḳhud fidā hoga.e haiñ

    aaj ke nam

    aur

    aaj ke gham ke nam

    aaj ka gham ki hai zindagi ke bhare gulsitan se KHafa

    zard patton ka ban

    zard patton ka ban jo mera des hai

    dard ki anjuman jo mera des hai

    clerkon ki afsurda jaanon ke nam

    kirm-KHurda dilon aur zabanon ke nam

    post-manon ke nam

    tange walon ka nam

    rail-banon ke nam

    kar-KHanon ke bhuke jiyalon ke nam

    baadshah-e-jahan wali-e-ma-siwa, naeb-ul-allah fil-arz

    dahqan ke nam

    jis ke Dhoron ko zalim hanka le gae

    jis ki beTi ko Daku uTha le gae

    hath bhar khet se ek angusht paTwar ne kaT li hai

    dusri maliye ke bahane se sarkar ne kaT li hai

    jis ki pag zor walon ke panw-tale

    dhajjiyan ho gai hai

    un dukhi maon ke nam

    raat mein jin ke bachche bilakte hain aur

    nind ki mar khae hue bazuon mein sambhalte nahin

    dukh batate nahin

    minnaton zariyon se bahalte nahin

    un hasinaon ke nam

    jin ki aankhon ke gul

    chilmanon aur darichon ki belon pe be-kar khil khil ke

    murjha gae hain

    un biyahtaon ke nam

    jin ke badan

    be mohabbat riya-kar sejon pe saj saj ke ukta gae hain

    bewaon ke nam

    kaTDiyon aur galiyon mohallon ke nam

    jin ki napak KHashak se chand raaton

    ko aa aa ke karta hai aksar wazu

    jin ke sayon mein karti hai aah-o-buka

    aanchalon ki hina

    chuDiyon ki khanak

    kakulon ki mahak

    aarzu-mand sinon ki apne pasine mein julne ki bu

    paDhne walon ke nam

    wo jo ashab-e-tabal-o-alam

    ke daron par kitab aur qalam

    ka taqaza liye hath phailae

    wo masum jo bhole-pan mein

    wahan apne nanhe charaghon mein lau ki lagan

    le ke pahunche jahan

    baT rahe the ghaTa-Top be-ant raaton ke sae

    un asiron ke nam

    jin ke sinon mein farda ke shab-tab gauhar

    jel-KHanon ki shorida raaton ki sarsar mein

    jal jal ke anjum-numa hogae hain

    aane wale dinon ke safiron ke nam

    wo jo KHushbu-e-gul ki tarah

    apne paigham par KHud fida hogae hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nayyara Noor

    Nayyara Noor

    Naseeruddin Shah

    Naseeruddin Shah

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Unknown

    Unknown

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 393)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now