intisab
shikāyat na karnā
agar ye zamāna pukāre tumheñ
aur sadā merī āvāz kī guuñj ho
shikāyat na karnā
agar log muḌ muḌ ke dekheñ tumheñ
aur har shakl meñ merī muskān tum ko
dikhā.ī bhī de aur sunā.ī bhī de
shikāyat na karnā
agar har zabāñ par
tumhāre bajā.e mirā naam ho
tumheñ merī āñkhoñ kī tārīf karte hue
sochnā chāhiye thā
yahāñ saañs lete hue ḳhvāb
har aañkh ke ḳhvāb jaise nahīñ haiñ
yahāñ ḳhvāb āñkhoñ se bah jaa.eñ to
ashk bante nahīñ haiñ
pighalte nahīñ haiñ
tumheñ mere hāthoñ kī narmī ko mahsūs karte hue
bhūlnā to nahīñ chāhiye thā
ki ik haath meñ ek ḳhālī varaq
dūsre meñ qalam hai
shikāyat na karnā
agar ḳhushnumā raushnā.ī meñ pahle varaq par
tumheñ log paḌh leñ
shikayat na karna
agar ye zamana pukare tumhein
aur sada meri aawaz ki gunj ho
shikayat na karna
agar log muD muD ke dekhen tumhein
aur har shakl mein meri muskan tum ko
dikhai bhi de aur sunai bhi de
shikayat na karna
agar har zaban par
tumhaare bajae mera nam ho
tumhein meri aankhon ki tarif karte hue
sochna chahiye tha
yahan sans lete hue KHwab
har aankh ke KHwab jaise nahin hain
yahan KHwab aankhon se bah jaen to
ashk bante nahin hain
pighalte nahin hain
tumhein mere hathon ki narmi ko mahsus karte hue
bhulna to nahin chahiye tha
ki ek hath mein ek KHali waraq
dusre mein qalam hai
shikayat na karna
agar KHushnuma raushnai mein pahle waraq par
tumhein log paDh len
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 45)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.