intisab
laa.ī haiñ sayyāl nagīne
sard ghanerī palkeñ
pighle hīroñ kī jvālā se nain kaTore chhalkeñ
haath kī komal rekhāoñ meñ
aas ke kachche dhāge
ujlā aur pākīza chehra chandan jaisā laage
jab taḳhlīq ke gahvāre meñ
ḳhvāb suhāne jaage
tere narm badan kī ḳhushbūoñ ne
mujh ko gherā
merī nazm ke har chehre par naam likhā thā terā
lai hain sayyal nagine
sard ghaneri palken
pighle hiron ki jwala se nain kaTore chhalken
hath ki komal rekhaon mein
aas ke kachche dhage
ujla aur pakiza chehra chandan jaisa lage
jab taKHliq ke gahware mein
KHwab suhane jage
tere narm badan ki KHushbuon ne
mujh ko ghera
meri nazm ke har chehre par nam likha tha tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.