intizar
āsmāñ par nikal rahā mahtāb
din ke daftar pe lag rahā taalā
ghoñsloñ ko parinde lauT rahe
ziina ziina añdherā baḌhtā huā
aur maiñ huuñ qatār meñ ab tak
bijlī paanī
na rozgār koī
ghar kā rāshan na koī da.ave-dār
ahd-dar-ahd
paar kartā huā
vādī-e-dard se guzartā huā
batn se vālida kī hote hue
kokh meñ aa gayā huuñ beTī kī
ai ḳhudā
merā janm kab hogā
aasman par nikal raha mahtab
din ke daftar pe lag raha tala
ghonslon ko parinde lauT rahe
zina zina andhera baDhta hua
aur main hun qatar mein ab tak
bijli pani
na rozgar koi
ghar ka rashan na koi dawe-dar
ahd-dar-ahd
par karta hua
wadi-e-dard se guzarta hua
batn se walida ki hote hue
kokh mein aa gaya hun beTi ki
ai KHuda
mera janm kab hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.