Intizar
kabhī tum hañs paḌo
kabhī
maiñ hañs rahūñ
ki ham sab ek hī Daalī pe apne apne lamhe meñ
mahakne aur murjhāne kī ḳhātir
phuul haiñ
jidhar aa jaa.e mauj-e-rūh-parvar
pattiyāñ chamkīñ
fazā mahke
magar kab aa.e kis jānib ye gahrā raaz hai
shāyad kabhī chalte hue dhāre meñ
koī sabza ug aa.e
koī āvāz ḳhāmoshī meñ apne par hilā.e
magar kab aur kis jānib ye gahrā raaz hai
kabhi tum hans paDo
kabhi
main hans rahun
ki hum sab ek hi Dali pe apne apne lamhe mein
mahakne aur murjhane ki KHatir
phul hain
jidhar aa jae mauj-e-ruh-parwar
pattiyan chamkin
faza mahke
magar kab aae kis jaanib ye gahra raaz hai
shayad kabhi chalte hue dhaare mein
koi sabza ug aae
koi aawaz KHamoshi mein apne par hilae
magar kab aur kis jaanib ye gahra raaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.