intizar
chehre pe dīd-bān the hoñToñ pe kuchh sarāb
sāñsoñ meñ ehtijāj thā nabzoñ meñ inqalāb
dil jaise suunī shaam kā sūraj bujhā bujhā
aur jism jaise tiir kamāñ par chaḌhā huā
a.asāb ke tanāv se bajtā thā ang ang
har rang-e-ārzū meñ milā thā lahū kā rang
sochoñ pe bādbān tane the ġhubār ke
pancham ke sur pe taar chaḌhe the sitār ke
ik raat meñ hazār-hā manzar badal ga.e
lamhāt phail phail ke sadiyoñ meñ Dhal ga.e
hiire pe barg-e-gul kī nazākat kā vaar thā
kis shaḳhs kā na jaane mujhe intizār thā
chehre pe did-ban the honTon pe kuchh sarab
sanson mein ehtijaj tha nabzon mein inqalab
dil jaise suni sham ka suraj bujha bujha
aur jism jaise tir kaman par chaDha hua
aasab ke tanaw se bajta tha ang ang
har rang-e-arzu mein mila tha lahu ka rang
sochon pe baadban tane the ghubar ke
pancham ke sur pe tar chaDhe the sitar ke
ek raat mein hazar-ha manzar badal gae
lamhat phail phail ke sadiyon mein Dhal gae
hire pe barg-e-gul ki nazakat ka war tha
kis shaKHs ka na jaane mujhe intizar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.