intizar
jab mile the tum se pahlī martaba
ye lagā jaise ki sab kuchh pā liyā
mil ga.ī thī is jahāñ kī har ḳhushī
badlī badlī ho ga.ī thī zindagī
ek din phir haa.e aisā bhī huā
ho ga.e ik dūsre se ham judā
milne kī bas aas baaqī rah ga.ī
ik taḌaptī pyaas baaqī rah ga.ī
aaj bhī is dil ko mere hai yaqīñ
kyā pata kis moḌ Takrā.e kahīñ
is liye ummīd rakh kar barqarār
kartā huuñ har-pal tumhārā intizār
jab mile the tum se pahli martaba
ye laga jaise ki sab kuchh pa liya
mil gai thi is jahan ki har KHushi
badli badli ho gai thi zindagi
ek din phir hae aisa bhi hua
ho gae ek dusre se hum juda
milne ki bas aas baqi rah gai
ek taDapti pyas baqi rah gai
aaj bhi is dil ko mere hai yaqin
kya pata kis moD Takrae kahin
is liye ummid rakh kar barqarar
karta hun har-pal tumhaara intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.