Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar muntazir

Kamran Nafees

intizar muntazir

Kamran Nafees

MORE BYKamran Nafees

    sukūt-e-vasl meñ kahīñ

    gilās lams tishnagī

    savād-e-zulf meñ chhupī

    vo narm sharmgīñ hañsī

    laboñ pe shabnamī qatār

    gulāb pattiyāñ niDhāl

    gulāb pattiyoñ meñ

    pairāhan silvaTeñ

    shadīd kasmasāhaTeñ

    shadīd kasmasāhaToñ meñ

    karvaToñ siskiyāñ

    nafas zer-o-bam liye

    vo chaḌh ke Dūbtī nadī

    nadī ret meñ badan

    badan ke ḳhadd-o-ḳhāl pe

    vo chāñdnī be-ḳhudī

    sukūt-e-vasl meñ kahīñ

    kalā.iyoñ ke darmiyāñ

    chaTaḳhtī chubhtī chūḌiyāñ

    chaTaḳhtī chubhtī chūḌiyoñ meñ

    iltijā vafā duā

    adhūrī shab ḳhāmushī

    meñ āhaToñ hichkiyāñ

    aur āhaToñ hichkiyoñ meñ

    aag raushnī badan

    gilās lams tishnagī

    charāġh taaq bām-o-dar

    galī meñ niim shajar

    shajar ke saa.e meñ makāñ

    makān meñ barāmda

    barāmde ke darmiyāñ

    niboliyāñ niboliyāñ

    barāmde zard raushnī

    meñ Dūbtī ubhartī tez saañs

    kuchaltī un niboliyoñ pe tez chaap

    galī raah par nazar

    shajar ke saa.e meñ

    makān muntazir

    charāġh muntazir

    udaas ġham-zada niDhāl ḳhvāb muntazir

    intizār muntazir

    sukut-e-wasl mein kahin

    gilas lams tishnagi

    sawad-e-zulf mein chhupi

    wo narm sharmgin hansi

    labon pe shabnami qatar

    gulab pattiyan niDhaal

    gulab pattiyon mein

    pairahan ki silwaTen

    shadid kasmasahaTen

    shadid kasmasahaTon mein

    karwaTon ki siskiyan

    nafas ka zer-o-bam liye

    wo chaDh ke Dubti nadi

    nadi ki ret mein badan

    badan ke KHadd-o-KHal pe

    wo chandni ki be-KHudi

    sukut-e-wasl mein kahin

    kalaiyon ke darmiyan

    chaTaKHti chubhti chuDiyan

    chaTaKHti chubhti chuDiyon mein

    iltija wafa dua

    adhuri shab ki KHamushi

    mein aahaTon ki hichkiyan

    aur aahaTon ki hichkiyon mein

    aag raushni badan

    gilas lams tishnagi

    charagh taq baam-o-dar

    gali mein nim ka shajar

    shajar ke sae mein makan

    makan mein baramda

    baramde ke darmiyan

    niboliyan niboliyan

    baramde ki zard raushni

    mein Dubti ubharti tez sans

    kuchalti un niboliyon pe tez chap

    gali ki rah par nazar

    shajar ke sae mein

    makan muntazir

    charagh muntazir

    udas gham-zada niDhaal KHwab muntazir

    intizar muntazir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now