intizar
qābil-e-dīd hai mashshātgī-e-fasl-e-bahār
zulf-e-sumbul meñ nayā husn nazar aatā hai
surḳhī-e-chehra-e-gul se hai shafaq-zār chaman
rañg shabnam kā bhī kuchh surḳh huā jaatā hai
dekh kar surḳhī-e-ruḳhsār-e-gulistāñ gulchīñ
apne dastūr meñ tarmīm kiye jaatā hai
mutanabbe bhī kiye jaatā hai har patte ko
naam bhī fasl-e-bahārāñ kā liye jaatā hai
zer-e-tartīb hai ā.in-e-chaman-ārā.ī
ye haqīqat hai ki takmīl abhī baaqī hai
patte patte pe abhī sabt nahīñ naqsh-e-bahār
ya.anī ijmāl kī tafsīl abhī baaqī hai
bāġhbānī abhī lazzat-kash-e-gul-chīnī hai
dekh kar dast-e-havas phuul laraz jaate haiñ
itne sayyād haiñ saf basta ki murġhān-e-chaman
āshiyānoñ se nikalte hue ghabrāte haiñ
gul-faroshī hai abhī fasl-e-bahārāñ kī mushīr
lāla-o-gul kā tabassum hai hirāsāñ ab tak
laḌkhaḌātī huī chaltī hai gulistāñ meñ nasīm
phuul khilte haiñ to hote haiñ pashemāñ ab tak
yahī tārīḳh-e-chaman hai yahī tārīḳh-e-bahār
pahle do chaar hī phūloñ pe nikhār aatā hai
āñkheñ maltā huā phir niiñd se uThtā hai shabāb
patte patte meñ nazar rū-e-nigār aatā hai
le ke phir god meñ ġhunchoñ ko ye kahtī hai sabā
maiñ tumhārī huuñ ki gulchīñ kī tumhīñ ġhaur karo
daur-e-takmīl-e-bahār aa.egā aa.egā zarūr
intizār aur karo aur karo aur karo
qabil-e-did hai mashshatgi-e-fasl-e-bahaar
zulf-e-sumbul mein naya husn nazar aata hai
surKHi-e-chehra-e-gul se hai shafaq-zar chaman
rang shabnam ka bhi kuchh surKH hua jata hai
dekh kar surKHi-e-ruKHsar-e-gulistan gulchin
apne dastur mein tarmim kiye jata hai
mutanabbe bhi kiye jata hai har patte ko
nam bhi fasl-e-bahaaran ka liye jata hai
zer-e-tartib hai aain-e-chaman-arai
ye haqiqat hai ki takmil abhi baqi hai
patte patte pe abhi sabt nahin naqsh-e-bahaar
yani ijmal ki tafsil abhi baqi hai
baghbani abhi lazzat-kash-e-gul-chini hai
dekh kar dast-e-hawas phul laraz jate hain
itne sayyaad hain saf basta ki murghan-e-chaman
aashiyanon se nikalte hue ghabraate hain
gul-faroshi hai abhi fasl-e-bahaaran ki mushir
lala-o-gul ka tabassum hai hirasan ab tak
laDkhaDati hui chalti hai gulistan mein nasim
phul khilte hain to hote hain pasheman ab tak
yahi tariKH-e-chaman hai yahi tariKH-e-bahaar
pahle do chaar hi phulon pe nikhaar aata hai
aankhen malta hua phir nind se uThta hai shabab
patte patte mein nazar ru-e-nigar aata hai
le ke phir god mein ghunchon ko ye kahti hai saba
main tumhaari hun ki gulchin ki tumhin ghaur karo
daur-e-takmil-e-bahaar aaega aaega zarur
intizar aur karo aur karo aur karo
- Book : Hindustani Adab Ke Memar : Parvez Shahidi (Pg. 72)
- Author : Aleemullah Hali
- Publication : Sahitya Academy (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.