intizar
aur tum nahīñ aate
chāñd Duub jaatā hai
umr biit jaatī hai
intizār kī baazī
raat jiit jaatī hai
jabr kā kaḌā lamha
aas kā bujhā taarā
shām-e-hijr kā dariyā
mujh meñ Duub jaatā hai
aur tum nahīñ aate
aur tum nahin aate
chand Dub jata hai
umr bit jati hai
intizar ki bazi
raat jit jati hai
jabr ka kaDa lamha
aas ka bujha tara
sham-e-hijr ka dariya
mujh mein Dub jata hai
aur tum nahin aate
- Book : Aks Padta Hai Chand ka (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.