intizar
raat bhar bārish darīche ke qarīb
motiye kī bel se lipTī huī
qatra qatra zahr barsātī rahī
merī āñkhoñ ko tire chehre kī yaad aatī rahī
subah ko thā farsh par pattoñ kā Dher
be-numū miTTī ke chehre ke naqāb
intiqām intizār āftāb
raat bhar barish dariche ke qarib
motiye ki bel se lipTi hui
qatra qatra zahr barsati rahi
meri aankhon ko tere chehre ki yaad aati rahi
subah ko tha farsh par patton ka Dher
be-numu miTTi ke chehre ke naqab
intiqam intizar aaftab
- Book : namuud (Pg. 43)
- Author : sahar ansari
- Publication : welcome book port urdu bazar karachi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.