intizar
tum aglī baar jab aanā muqarrar vaqt par aanā
tumhārā muntazir kab se
maiñ jis Table pe baiThā huuñ
vahāñ se baa.eñ jānib glass window se
maiñ ab tak gin chukā huuñ
pichhle das mintoñ meñ bāvan gāḌiyāñ niklī haiñ
in meñ do safāri pāñch audi das innova aaTh honda das dzire aur satrah chhoTī careñ thiiñ
saḌak par aatī jaatī gāḌiyāñ ginte hue bhī
vaqt kaTtā hī nahīñ Thahrā huā sā hai
tum aglī baar jab aanā muqarrar vaqt par aanā
tumhārī raah takte jaane kitnī baar
maiñ is restaurant kī sīḌhiyāñ utrā chaḌhā huuñ
abhī pichhle hī mausam tak
sunahrī dhuup jab tak āḳhirī ziine pe pahuñchī
tiin bajte the
magar ab chaar bajne ko haiñ
lekin dhuup ab bhī tīsre ziine pe aTkī hai
tumhārī raah takte biit jaate haiñ ka.ī mausam
tum aglī baar jab aanā muqarrar vaqt par aanā
maiñ pichhlī baar is dīvār ke nīche khaḌā thā
tab yahāñ pichhlī sadī ke rājasī kapḌoñ meñ lipTī
rāniyoñ ke poster chaspāñ the
lekin ab kisī modern heroine
kī kuchh tasvīreñ laTkī haiñ
tumhārī raah takte biit jaatī haiñ ka.ī sadiyāñ
tum aglī baar jab aanā muqarrar vaqt par aanā
tum agli bar jab aana muqarrar waqt par aana
tumhaara muntazir kab se
main jis Table pe baiTha hun
wahan se baen jaanib glass window se
main ab tak gin chuka hun
pichhle das minton mein bawan gaDiyan nikli hain
in mein do safari panch audi das innowa aaTh honda das dzire aur satrah chhoTi caren thin
saDak par aati jati gaDiyan ginte hue bhi
waqt kaTta hi nahin Thahra hua sa hai
tum agli bar jab aana muqarrar waqt par aana
tumhaari rah takte jaane kitni bar
main is restaurant ki siDhiyan utra chaDha hun
abhi pichhle hi mausam tak
sunahri dhup jab tak aaKHiri zine pe pahunchi
tin bajte the
magar ab chaar bajne ko hain
lekin dhup ab bhi tisre zine pe aTki hai
tumhaari rah takte bit jate hain kai mausam
tum agli bar jab aana muqarrar waqt par aana
main pichhli bar is diwar ke niche khaDa tha
tab yahan pichhli sadi ke rajasi kapDon mein lipTi
raniyon ke poster chaspan the
lekin ab kisi modern heroine
ki kuchh taswiren laTki hain
tumhaari rah takte bit jati hain kai sadiyan
tum agli bar jab aana muqarrar waqt par aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.