intizar
vo ek panchvaTī kā vishāl sā jañgal
jugoñ jugoñ se jahāñ ik ahilya kī shilā
tabāh-kār siyah-fāl bad-duā kā sila
burī tarah se hai apne sharāb meñ pāgal
kabhī ye sochtā hai sañg-o-ḳhisht kā paikar
ḳhud us kī tarah na har rahguzār pathrā jaa.e
vo lauh-e-harf-e-muqaddar bhī jis pe dhuñdlā jaa.e
na jaane kitnī sadī tak rahegī ḳhāk-basar
is aas par take jaatā hai dīda-e-be-nūr
kabhī to pighlegā ye sañg-e-intizār āḳhir
kabhī to raam kī Thokar kā hogā gun zāhir
kabhī to hogā rag-e-sañg meñ lahū kā zuhūr
magar najāt-dahinda abhī nahīñ aayā
hazār saal haiñ darkār dīda-var ke liye
janam janam ke haiñ chakkar na.e safar ke liye
na jaane 'indra' chalegā ki raam aa.egā
wo ek panchwaTi ka wishaal sa jangal
jugon jugon se jahan ek ahilya ki shila
tabah-kar siyah-fal bad-dua ka sila
buri tarah se hai apne sharab mein pagal
kabhi ye sochta hai sang-o-KHisht ka paikar
KHud us ki tarah na har rahguzar pathra jae
wo lauh-e-harf-e-muqaddar bhi jis pe dhundla jae
na jaane kitni sadi tak rahegi KHak-basar
is aas par take jata hai dida-e-be-nur
kabhi to pighlega ye sang-e-intizar aaKHir
kabhi to ram ki Thokar ka hoga gun zahir
kabhi to hoga rag-e-sang mein lahu ka zuhur
magar najat-dahinda abhi nahin aaya
hazar sal hain darkar dida-war ke liye
janam janam ke hain chakkar nae safar ke liye
na jaane 'indra' chalega ki ram aaega
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 100)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.