intizar
vo lahn jo sadiyoñ sadiyoñ tak
insān ke dil kī dhaḌkan thā
us lahn kā jaadū TuuT gayā
firdaus ke naġhme ḳhvāb-e-alast
uqbā kī kahānī naqsh-e-kuhan
kohsār pe bādal sargardāñ
aflāk ke qaidī shams-o-qamar
tārīḳh navā-e-pārīna
maz.hab kī rivāyat farsūda
aḳhlāq kī qadreñ chaknā-chūr
tahzīb ke mandir bosīda
fitrat kā sahārā kyā chhūTā
har rishta-e-māzī chhūT gayā
sunsān guzargāhoñ par
ab maut kā Damrū bajtā hai
dhartī kā musāfir be-chāra
hairān-o-pareshāñ sehr-zada
manzil kī talab meñ āvāra
sajde ke liye patthar bhī nahīñ
aañsū ke liye dāman to kujā
jiine ke liye lāzim hai use
kuchh taaza junūñ taḳhlīq kare
taskīn-e-jigar paane ke liye
rishtoñ kī na.ī ta.amīr kare
jis peḌ kā phal khāyā thā kabhī
us phal ke daam chukānā hai
go haath meñ hai ab lauh-o-qalam
tahrīr kā fan apnānā hai
abvāb-e-kitāb-e-hastī ko
tashkīl kā maqsad paanā hai
wo lahn jo sadiyon sadiyon tak
insan ke dil ki dhaDkan tha
us lahn ka jadu TuT gaya
firdaus ke naghme KHwab-e-alast
uqba ki kahani naqsh-e-kuhan
kohsar pe baadal sargardan
aflak ke qaidi shams-o-qamar
tariKH nawa-e-parina
mazhab ki riwayat farsuda
aKHlaq ki qadren chakna-chur
tahzib ke mandir bosida
fitrat ka sahaara kya chhuTa
har rishta-e-mazi chhuT gaya
sunsan guzargahon par
ab maut ka Damru bajta hai
dharti ka musafir be-chaara
hairan-o-pareshan sehr-zada
manzil ki talab mein aawara
sajde ke liye patthar bhi nahin
aansu ke liye daman to kuja
jine ke liye lazim hai use
kuchh taza junun taKHliq kare
taskin-e-jigar pane ke liye
rishton ki nai tamir kare
jis peD ka phal khaya tha kabhi
us phal ke dam chukana hai
go hath mein hai ab lauh-o-qalam
tahrir ka fan apnana hai
abwab-e-kitab-e-hasti ko
tashkil ka maqsad pana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.