iqbaal se ham-kalami
kal azān-e-sub.h se pahle fazā-e-quds meñ
maiñ ne dekhā kuchh shanāsā sūrateñ haiñ ham-nashīñ
the hakīm-e-sharq se shaiḳh-e-mujaddid ham-kalām
gosh-bar-āvāz sab dānish-varān-e-ilm-o-dīñ
bul-kalām-'āzād' se 'ġhālib' the masrūf-e-suḳhan
'mīr' o 'momin' daur-e-hāzir kī ġhazal pe nukta-chīñ
is se kuchh haT kar gulābī shāḳh-choñ kī chhāñv meñ
the valīullāh ke farzand nukta-āfrīñ
īstāda sarv ke saa.e meñ the maulā-e-rūm
jin ke farmūdāt meñ muzmar haiñ āyāt-e-mubīñ
soch meñ Duube hue the 'hālī'-e-darvesh-ḳhū
bāñdh kar baiThe halqa shiblī-e-ahd-āfrīñ
maiñ ne baḌh kar murshid-e-iqbāl se ye arz kī
aap ko ham tīra-baḳhtoñ kī ḳhabar hai yā nahīñ
dil-shikasta ho ke farmāyā mujhe ma.alūm hai
be-yad-e-baizā hai pīrān-e-haram kī āstīñ
saltanat le kar ḳhudā o mustafā ke naam par
ab ḳhudā o mustafā kī raah par koī nahīñ
hai abhī shahbāz kī ġhairat par kargas ḳhanda-zan
''hai vahī sarmāya-dārī banda-e-momin kā dīñ''
is se baḌh kar aur kyā fikr o amal kā inqalāb
''pādshāhoñ kī nahīñ allāh kī hai ye zamīñ''
kaun samjhā.e añdherī raat ko ā.īn-e-mahr
vaa.e bad-baḳhtī ki ḳhud momin hai mahrūm-e-yaqīñ
ḳhuun de kar ḳhāna-e-sayyād ko raushan karo
jaao mashriq ke ḳharāb-ābād ko raushan karo
kal azan-e-subh se pahle faza-e-quds mein
main ne dekha kuchh shanasa suraten hain ham-nashin
the hakim-e-sharq se shaiKH-e-mujaddid ham-kalam
gosh-bar-awaz sab danish-waran-e-ilm-o-din
bul-kalam-'azad' se 'ghaalib' the masruf-e-suKHan
'mir' o 'momin' daur-e-hazir ki ghazal pe nukta-chin
is se kuchh haT kar gulabi shaKH-chon ki chhanw mein
the waliullah ke farzand nukta-afrin
istada sarw ke sae mein the maula-e-rum
jin ke farmudat mein muzmar hain aayat-e-mubin
soch mein Dube hue the 'haali'-e-darwesh-KHu
bandh kar baiThe halqa shibli-e-ahd-afrin
main ne baDh kar murshid-e-iqbaal se ye arz ki
aap ko hum tira-baKHton ki KHabar hai ya nahin
dil-shikasta ho ke farmaya mujhe malum hai
be-yad-e-baiza hai piran-e-haram ki aastin
saltanat le kar KHuda o mustafa ke nam par
ab KHuda o mustafa ki rah par koi nahin
hai abhi shahbaz ki ghairat par kargas KHanda-zan
hai wahi sarmaya-dari banda-e-momin ka din
is se baDh kar aur kya fikr o amal ka inqalab
padshahon ki nahin allah ki hai ye zamin
kaun samjhae andheri raat ko aain-e-mahr
wae bad-baKHti ki KHud momin hai mahrum-e-yaqin
KHun de kar KHana-e-sayyaad ko raushan karo
jao mashriq ke KHarab-abaad ko raushan karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.