iqbaal
sone vāloñ ko payām-e-sub.h-e-nau detī huī
ḳhvāb kī duniyā uThī añgḌā.iyāñ letī huī
matl.a-e-mashriq pe chamkā āftāb-e-shā.irī
har kiran jis kī banī tār-e-rabāb-e-shā.irī
dil pe thā jo dāġh-e-ġhaflat us ko aaheñ dho ga.iiñ
ḳhūn-e-mashriq meñ hazāroñ bijliyāñ hal ho ga.iiñ
zabt ke zaḳhm-e-nihāñ fariyād se bharne lage
ya.anī bande bhī ḳhudā se guftugū karne lage
āriz-e-pur-nūr jhalkā gesū-e-shab-rang se
jū-e-bār-e-sāz-e-dil niklī sukūt-e-sang se
ashk-e-ḳhūnīñ meñ nazar aa.ī tabassum kī jhalak
naġhma-e-bulbul banī ḳhāmosh phūloñ kī mahak
kārvāñ baḌhne lagā tezī se manzil kī taraf
kā.enāt-e-dard ḳhud khīñchne lagī dil kī taraf
dahr ke dhāre pe tūfānī havā sahne lagī
naav mashriq kī kināre kī taraf bahne lagī
jaag uThā mashriq dil-e-iqbāl kī dhaḌkan gavāh
vaah kā mahshar liye aatī hai jis kī lab pe aah
qalb-e-shā.ir se sadāqat le ke niklī shā.irī
sach kahā hai shā.irī juzvīst az paiġhambarī
sone walon ko payam-e-subh-e-nau deti hui
KHwab ki duniya uThi angDaiyan leti hui
matla-e-mashriq pe chamka aaftab-e-shairi
har kiran jis ki bani tar-e-rabab-e-shairi
dil pe tha jo dagh-e-ghaflat us ko aahen dho gain
KHun-e-mashriq mein hazaron bijliyan hal ho gain
zabt ke zaKHm-e-nihan fariyaad se bharne lage
yani bande bhi KHuda se guftugu karne lage
aariz-e-pur-nur jhalka gesu-e-shab-rang se
ju-e-bar-e-saz-e-dil nikli sukut-e-sang se
ashk-e-KHunin mein nazar aai tabassum ki jhalak
naghma-e-bulbul bani KHamosh phulon ki mahak
karwan baDhne laga tezi se manzil ki taraf
kaenat-e-dard KHud khinchne lagi dil ki taraf
dahr ke dhaare pe tufani hawa sahne lagi
naw mashriq ki kinare ki taraf bahne lagi
jag uTha mashriq dil-e-iqbaal ki dhaDkan gawah
wah ka mahshar liye aati hai jis ki lab pe aah
qalb-e-shair se sadaqat le ke nikli shairi
sach kaha hai shairi juzwist az paighambari
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.