Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawab-e-shikwa

Allama Iqbal

jawab-e-shikwa

Allama Iqbal

dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai

par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai

qudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtī hai

ḳhaak se uThtī hai gardūñ pe guzar rakhtī hai

ishq thā fitnagar o sarkash o chālāk mirā

āsmāñ chiir gayā nāla-e-bebāk mirā

pīr-e-gardūñ ne kahā sun ke kahīñ hai koī

bole sayyāre sar-e-arsh-e-barīñ hai koī

chāñd kahtā thā nahīñ ahl-e-zamīñ hai koī

kahkashāñ kahtī thī poshīda yahīñ hai koī

kuchh jo samjhā mire shikve ko to rizvāñ samjhā

mujh ko jannat se nikālā huā insāñ samjhā

thī farishtoñ ko bhī hairat ki ye āvāz hai kyā

arsh vāloñ pe bhī khultā nahīñ ye raaz hai kyā

tā-sar-e-arsh bhī insāñ tag-o-tāz hai kyā

aa ga.ī ḳhaak chuTkī ko bhī parvāz hai kyā

ġhāfil ādāb se sukkān-e-zamīñ kaise haiñ

shoḳh o gustāḳh ye pastī ke makīñ kaise haiñ

is qadar shoḳh ki allāh se bhī barham hai

thā jo masjūd-e-malā.ik ye vahī aadam hai

ālim-e-kaif hai dānā-e-rumūz-e-kam hai

haañ magar ijz ke asrār se nā-mahram hai

naaz hai tāqat-e-guftār pe insānoñ ko

baat karne salīqa nahīñ nā-dānoñ ko

aa.ī āvāz ġham-añgez hai afsāna tirā

ashk-e-betāb se labrez hai paimāna tirā

āsmāñ-gīr huā nāra-e-mastāna tirā

kis qadar shoḳh-zabāñ hai dil-e-dīvāna tirā

shukr shikve ko kiyā husn-e-adā se ne

ham-suḳhan kar diyā bandoñ ko ḳhudā se ne

ham to mā.il-ba-karam haiñ koī saa.il nahīñ

raah dikhlā.eñ kise rah-rav-e-manzil nahīñ

tarbiyat aam to hai jauhar-e-qābil nahīñ

jis se ta.amīr ho aadam ye vo gil nahīñ

koī qābil ho to ham shān-e-ka.ī dete haiñ

DhūñDne vāloñ ko duniyā bhī na.ī dete haiñ

haath be-zor haiñ ilhād se dil ḳhūgar haiñ

ummatī bā.is-e-rusvā.i-e-paiġhambar haiñ

but-shikan uTh ga.e baaqī jo rahe but-gar haiñ

thā brāhīm pidar aur pisar aazar haiñ

bāda-āshām na.e baada nayā ḳhum bhī na.e

haram-e-kāba nayā but bhī na.e tum bhī na.e

vo bhī din the ki yahī māya-e-rānā.ī thā

nāzish-e-mausam-e-gul lāla-e-sahrā.ī thā

jo musalmān thā allāh saudā.ī thā

kabhī mahbūb tumhārā yahī harjā.ī thā

kisī yakjā.ī se ab ahd-e-ġhulāmī kar lo

millat-e-ahmad-e-mursil ko maqāmī kar lo

kis qadar tum pe girāñ sub.h bedārī hai

ham se kab pyaar hai haañ niiñd tumheñ pyārī hai

tab-e-āzād pe qaid-e-ramazāñ bhārī hai

tumhīñ kah do yahī ā.īn-e-vafādārī hai

qaum maz.hab se hai maz.hab jo nahīñ tum bhī nahīñ

jazb-e-bāham jo nahīñ mahfil-e-anjum bhī nahīñ

jin ko aatā nahīñ duniyā meñ koī fan tum ho

nahīñ jis qaum ko parvā-e-nasheman tum ho

bijliyāñ jis meñ hoñ āsūda vo ḳhirman tum ho

bech khāte haiñ jo aslāf ke madfan tum ho

ho niko naam jo qabroñ tijārat kar ke

kyā na bechoge jo mil jaa.eñ sanam patthar ke

safha-e-dahr se bātil ko miTāyā kis ne

nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā kis ne

mere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā kis ne

mere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā kis ne

the to aabā vo tumhāre magar tum kyā ho

haath par haath dhare muntazir-e-fardā ho

kyā kahā bahr-e-musalmāñ hai faqat vāda-e-hūr

shikva bejā bhī kare koī to lāzim hai shu.ūr

adl hai fātir-e-hastī azal se dastūr

muslim aa.iiñ huā kāfir to mile huur o qusūr

tum meñ hūroñ koī chāhne vaalā nahīñ

jalva-e-tūr to maujūd hai muusā nahīñ

manfa.at ek hai is qaum nuqsān bhī ek

ek sab nabī diin bhī īmān bhī ek

haram-e-pāk bhī allāh bhī qur.ān bhī ek

kuchh baḌī baat thī hote jo musalmān bhī ek

firqa-bandī hai kahīñ aur kahīñ zāteñ haiñ

kyā zamāne meñ panapne yahī bāteñ haiñ

kaun hai tārik-e-ā.īn-e-rasūl-e-muḳhtār

maslahat vaqt hai kis ke amal me.aar

kis āñkhoñ meñ samāyā hai shi.ār-e-aġhyār

ho ga.ī kis nigah tarz-e-salaf se be-zār

qalb meñ soz nahīñ ruuh meñ ehsās nahīñ

kuchh bhī paiġhām-e-mohammad tumheñ paas nahīñ

ke hote haiñ masājid meñ saf-ārā to ġharīb

zahmat-e-roza jo karte haiñ gavārā to ġharīb

naam letā hai agar koī hamārā to ġharīb

parda rakhtā hai agar koī tumhārā to ġharīb

umarā nashsha-e-daulat meñ haiñ ġhāfil ham se

zinda hai millat-e-baizā ġhorabā ke dam se

vā.iz-e-qaum vo puḳhta-ḳhayālī na rahī

barq-e-tab.ī na rahī shola-maqālī na rahī

rah ga.ī rasm-e-azāñ rūh-e-bilālī na rahī

falsafa rah gayā talqīn-e-ġhazālī na rahī

masjideñ marsiyāñ-ḳhvāñ haiñ ki namāzī na rahe

yaanī vo sahib-e-ausāf-e-hijāzī na rahe

shor hai ho ga.e duniyā se musalmāñ nābūd

ham ye kahte haiñ ki the bhī kahīñ muslim maujūd

vaz.a meñ tum ho nasārā to tamaddun meñ hunūd

ye musalmāñ haiñ jinheñ dekh ke sharmā.eñ yahūd

yuuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho

tum sabhī kuchh ho batāo to musalmān bhī ho

dam-e-taqrīr thī muslim sadāqat bebāk

adl us thā qavī laus-e-marā.āt se paak

shajar-e-fitrat-e-muslim thā hayā se namnāk

thā shujā.at meñ vo ik hasti-e-fauq-ul-idrāk

ḳhud-gudāzī nam-e-kaifiyat-e-sahbā-yash buud

ḳhālī-az-ḳhesh shudan sūrat-e-mīnā-yash buud

har musalmāñ rag-e-bātil ke liye nashtar thā

us ke ā.īna-e-hastī meñ amal jauhar thā

jo bharosā thā use quvvat-e-bāzū par thā

hai tumheñ maut Dar us ko ḳhudā Dar thā

baap ilm na beTe ko agar azbar ho

phir pisar qābil-e-mīrās-e-pidar kyūñkar ho

har koī mast-e-mai-e-zauq-e-tan-āsānī hai

tum musalmāñ ho ye andāz-e-musalmānī hai

haidarī faqr hai ne daulat-e-usmānī hai

tum ko aslāf se kyā nisbat-e-rūhānī hai

vo zamāne meñ muazziz the musalmāñ ho kar

aur tum ḳhvār hue tārik-e-qur.āñ ho kar

tum ho aapas meñ ġhazabnāk vo aapas meñ rahīm

tum ḳhatā-kār o ḳhatā-bīñ vo ḳhatā-posh o karīm

chāhte sab haiñ ki hoñ auj-e-surayyā pe muqīm

pahle vaisā koī paidā to kare qalb-e-salīm

taḳht-e-faġhfūr bhī un thā sarīr-e-ka.e bhī

yuuñ bāteñ haiñ ki tum meñ vo hamiyat hai bhī

ḳhud-kushī sheva tumhārā vo ġhayūr o ḳhuddār

tum uḳhuvvat se gurezāñ vo uḳhuvvat pe nisār

tum ho guftār sarāpā vo sarāpā kirdār

tum taraste ho kalī ko vo gulistāñ ba-kanār

ab talak yaad hai qaumoñ ko hikāyat un

naqsh hai safha-e-hastī pe sadāqat un

misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhī hue

but-e-hindī mohabbat meñ birhman bhī hue

shauq-e-parvāz meñ mahjūr-e-nasheman bhī hue

be-amal the javāñ diin se bad-zan bhī hue

in ko tahzīb ne har band se āzād kiyā

ke ka.abe se sanam-ḳhāne meñ ābād kiyā

qais zahmat-kash-e-tanhā.i-e-sahrā na rahe

shahr khaa.e havā bādiya-paimā na rahe

vo to dīvāna hai bastī meñ rahe na rahe

ye zarūrī hai hijāb-e-ruḳh-e-lailā na rahe

gila-e-zaur na ho shikva-e-bedād na ho

ishq āzād hai kyuuñ husn bhī āzād na ho

ahd-e-nau barq hai ātish-zan-e-har-ḳhirman hai

aiman is se koī sahrā na koī gulshan hai

is na.ī aag aqvām-e-kuhan īñdhan hai

millat-e-ḳhatm-e-rusul shola-ba-pairāhan hai

aaj bhī ho jo brāhīm īmāñ paidā

aag kar saktī hai andāz-e-gulistāñ paidā

dekh kar rañg-e-chaman ho na pareshāñ maalī

Kaukab-e-ġhuncha se shāḳheñ haiñ chamakne vaalī

ḳhas o ḳhāshāk se hotā hai gulistāñ ḳhālī

ġhul-bar-andāz hai ḳhūn-e-shohdā laalī

rañg gardūñ zarā dekh to unnābī hai

ye nikalte hue sūraj ufuq-tābī hai

ummateñ gulshan-e-hastī meñ samar-chīda bhī haiñ

aur mahrūm-e-samar bhī haiñ ḳhizāñ-dīda bhī haiñ

saikḌoñ naḳhl haiñ kāhīda bhī bālīda bhī haiñ

saikḌoñ batn-e-chaman meñ abhī poshīda bhī haiñ

naḳhl-e-islām namūna hai birau-mandī

phal hai ye saikḌoñ sadiyoñ chaman-bandī

paak hai gard-e-vatan se sar-e-dāmāñ terā

vo yūsuf hai ki har misr hai kan.āñ terā

qāfila ho na sakegā kabhī vīrāñ terā

ġhair yak-bāñg-e-darā kuchh nahīñ sāmāñ terā

naḳhl-e-shama astī o dar shola do-resha-e-tū

āqibat-soz bavad sāya-e-andesha-e-tū

na miT jā.egā īrān ke miT jaane se

nashsha-e-mai ko ta.alluq nahīñ paimāne se

hai ayaañ yurish-e-tātār ke afsāne se

pāsbāñ mil ga.e ka.abe ko sanam-ḳhāne se

kashti-e-haq zamāne meñ sahārā hai

asr-e-nau-rāt hai dhundlā sitārā hai

hai jo hañgāma bapā yurish-e-bulġhārī

ġhāfiloñ ke liye paiġhām hai bedārī

samajhtā hai ye sāmāñ hai dil-āzārī

imtihāñ hai tire īsār ḳhuddārī

kyuuñ hirāsāñ hai sahīl-e-faras-e-ādā se

nūr-e-haq bujh na sakegā nafas-e-ādā se

chashm-e-aqvām se maḳhfī hai haqīqat terī

hai abhī mahfil-e-hastī ko zarūrat terī

zinda rakhtī hai zamāne ko harārat terī

kaukab-e-qismat-e-imkāñ hai ḳhilāfat terī

vaqt-e-fursat hai kahāñ kaam abhī baaqī hai

nūr-e-tauhīd itmām abhī baaqī hai

misl-e-bū qaid hai ġhunche meñ pareshāñ ho

raḳht-bar-dosh havā-e-chamanistāñ ho

hai tunak-māya zarre se bayābāñ ho

naġhma-e-mauj hai hañgāma-e-tūfāñ ho

quvvat-e-ishq se har past ko baalā kar de

dahr meñ ism-e-mohammad se ujālā kar de

ho na ye phuul to bulbul tarannum bhī na ho

chaman-e-dahr meñ kaliyoñ tabassum bhī na ho

ye na saaqī ho to phir mai bhī na ho ḳhum bhī na ho

bazm-e-tauhīd bhī duniyā meñ na ho tum bhī na ho

ḳhema-e-aflāk istāda isī naam se hai

nabz-e-hastī tapish-āmāda isī naam se hai

dasht meñ dāman-e-kohsār meñ maidān meñ hai

bahr meñ mauj āġhosh meñ tūfān meñ hai

chiin ke shahr marāqash ke bayābān meñ hai

aur poshīda musalmān ke īmān meñ hai

chashm-e-aqvām ye nazzāra abad tak dekhe

rif.at-e-shān-e-rafānā-lakā-zikrak dekhe

mardum-e-chashm-e-zamīñ yaanī vo kaalī duniyā

vo tumhāre shohdā pālne vaalī duniyā

garmī-e-mehr parvarda hilālī duniyā

ishq vaale jise kahte haiñ bilālī duniyā

tapish-andoz hai is naam se paare tarah

ġhota-zan nuur meñ hai aañkh ke taare tarah

aql hai terī sipar ishq hai shamshīr tirī

mire darvesh ḳhilāfat hai jahāñgīr tirī

mā-sivā-allāh ke liye aag hai takbīr tirī

musalmāñ ho to taqdīr hai tadbīr tirī

mohammad se vafā ne to ham tere haiñ

ye jahāñ chiiz hai kyā lauh-o-qalam tere haiñ

dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai

par nahin taqat-e-parwaz magar rakhti hai

qudsi-ul-asl hai rifat pe nazar rakhti hai

KHak se uThti hai gardun pe guzar rakhti hai

ishq tha fitnagar o sarkash o chaalak mera

aasman chir gaya nala-e-bebak mera

pir-e-gardun ne kaha sun ke kahin hai koi

bole sayyare sar-e-arsh-e-barin hai koi

chand kahta tha nahin ahl-e-zamin hai koi

kahkashan kahti thi poshida yahin hai koi

kuchh jo samjha mere shikwe ko to rizwan samjha

mujh ko jannat se nikala hua insan samjha

thi farishton ko bhi hairat ki ye aawaz hai kya

arsh walon pe bhi khulta nahin ye raaz hai kya

ta-sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taz hai kya

aa gai KHak ki chuTki ko bhi parwaz hai kya

ghafil aadab se sukkan-e-zamin kaise hain

shoKH o gustaKH ye pasti ke makin kaise hain

is qadar shoKH ki allah se bhi barham hai

tha jo masjud-e-malaik ye wahi aadam hai

aalim-e-kaif hai dana-e-rumuz-e-kam hai

han magar ijz ke asrar se na-mahram hai

naz hai taqat-e-guftar pe insanon ko

baat karne ka saliqa nahin na-danon ko

aai aawaz gham-angez hai afsana tera

ashk-e-betab se labrez hai paimana tera

aasman-gir hua nara-e-mastana tera

kis qadar shoKH-zaban hai dil-e-diwana tera

shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne

ham-suKHan kar diya bandon ko KHuda se tu ne

hum to mail-ba-karam hain koi sail hi nahin

rah dikhlaen kise rah-raw-e-manzil hi nahin

tarbiyat aam to hai jauhar-e-qabil hi nahin

jis se tamir ho aadam ki ye wo gil hi nahin

koi qabil ho to hum shan-e-kai dete hain

DhunDne walon ko duniya bhi nai dete hain

hath be-zor hain ilhad se dil KHugar hain

ummati bais-e-ruswai-e-paighambar hain

but-shikan uTh gae baqi jo rahe but-gar hain

tha brahim pidar aur pisar aazar hain

baada-asham nae baada naya KHum bhi nae

haram-e-kaba naya but bhi nae tum bhi nae

wo bhi din the ki yahi maya-e-ranai tha

nazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahrai tha

jo musalman tha allah ka saudai tha

kabhi mahbub tumhaara yahi harjai tha

kisi yakjai se ab ahd-e-ghulami kar lo

millat-e-ahmad-e-mursil ko maqami kar lo

kis qadar tum pe giran subh ki bedari hai

hum se kab pyar hai han nind tumhein pyari hai

tab-e-azad pe qaid-e-ramazan bhaari hai

tumhin kah do yahi aain-e-wafadari hai

qaum mazhab se hai mazhab jo nahin tum bhi nahin

jazb-e-baham jo nahin mahfil-e-anjum bhi nahin

jin ko aata nahin duniya mein koi fan tum ho

nahin jis qaum ko parwa-e-nasheman tum ho

bijliyan jis mein hon aasuda wo KHirman tum ho

bech khate hain jo aslaf ke madfan tum ho

ho niko nam jo qabron ki tijarat kar ke

kya na bechoge jo mil jaen sanam patthar ke

safha-e-dahr se baatil ko miTaya kis ne

nau-e-insan ko ghulami se chhuDaya kis ne

mere kabe ko jabinon se basaya kis ne

mere quran ko sinon se lagaya kis ne

the to aaba wo tumhaare hi magar tum kya ho

hath par hath dhare muntazir-e-farda ho

kya kaha bahr-e-musalman hai faqat wada-e-hur

shikwa beja bhi kare koi to lazim hai shuur

adl hai fatir-e-hasti ka azal se dastur

muslim aain hua kafir to mile hur o qusur

tum mein huron ka koi chahne wala hi nahin

jalwa-e-tur to maujud hai musa hi nahin

manfat ek hai is qaum ka nuqsan bhi ek

ek hi sab ka nabi din bhi iman bhi ek

haram-e-pak bhi allah bhi quran bhi ek

kuchh baDi baat thi hote jo musalman bhi ek

firqa-bandi hai kahin aur kahin zaten hain

kya zamane mein panapne ki yahi baaten hain

kaun hai tarik-e-ain-e-rasul-e-muKHtar

maslahat waqt ki hai kis ke amal ka mear

kis ki aankhon mein samaya hai shiar-e-aghyar

ho gai kis ki nigah tarz-e-salaf se be-zar

qalb mein soz nahin ruh mein ehsas nahin

kuchh bhi paigham-e-mohammad ka tumhein pas nahin

ja ke hote hain masajid mein saf-ara to gharib

zahmat-e-roza jo karte hain gawara to gharib

nam leta hai agar koi hamara to gharib

parda rakhta hai agar koi tumhaara to gharib

umara nashsha-e-daulat mein hain ghafil hum se

zinda hai millat-e-baiza ghoraba ke dam se

waiz-e-qaum ki wo puKHta-KHayali na rahi

barq-e-tabi na rahi shola-maqali na rahi

rah gai rasm-e-azan ruh-e-bilali na rahi

falsafa rah gaya talqin-e-ghazali na rahi

masjiden marsiyan-KHwan hain ki namazi na rahe

yani wo sahib-e-ausaf-e-hijazi na rahe

shor hai ho gae duniya se musalman nabud

hum ye kahte hain ki the bhi kahin muslim maujud

waza mein tum ho nasara to tamaddun mein hunud

ye musalman hain jinhen dekh ke sharmaen yahud

yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho

tum sabhi kuchh ho batao to musalman bhi ho

dam-e-taqrir thi muslim ki sadaqat bebak

adl us ka tha qawi laus-e-maraat se pak

shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak

tha shujaat mein wo ek hasti-e-fauq-ul-idrak

KHud-gudazi nam-e-kaifiyat-e-sahba-yash bud

KHali-az-KHesh shudan surat-e-mina-yash bud

har musalman rag-e-baatil ke liye nashtar tha

us ke aaina-e-hasti mein amal jauhar tha

jo bharosa tha use quwwat-e-bazu par tha

hai tumhein maut ka Dar us ko KHuda ka Dar tha

bap ka ilm na beTe ko agar azbar ho

phir pisar qabil-e-miras-e-pidar kyunkar ho

har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan-asani hai

tum musalman ho ye andaz-e-musalmani hai

haidari faqr hai ne daulat-e-usmani hai

tum ko aslaf se kya nisbat-e-ruhani hai

wo zamane mein muazziz the musalman ho kar

aur tum KHwar hue tarik-e-quran ho kar

tum ho aapas mein ghazabnak wo aapas mein rahim

tum KHata-kar o KHata-bin wo KHata-posh o karim

chahte sab hain ki hon auj-e-surayya pe muqim

pahle waisa koi paida to kare qalb-e-salim

taKHt-e-faghfur bhi un ka tha sarir-e-kae bhi

yun hi baaten hain ki tum mein wo hamiyat hai bhi

KHud-kushi shewa tumhaara wo ghayur o KHuddar

tum uKHuwwat se gurezan wo uKHuwwat pe nisar

tum ho guftar sarapa wo sarapa kirdar

tum taraste ho kali ko wo gulistan ba-kanar

ab talak yaad hai qaumon ko hikayat un ki

naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat un ki

misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhi hue

but-e-hindi ki mohabbat mein birhman bhi hue

shauq-e-parwaz mein mahjur-e-nasheman bhi hue

be-amal the hi jawan din se bad-zan bhi hue

in ko tahzib ne har band se aazad kiya

la ke kabe se sanam-KHane mein aabaad kiya

qais zahmat-kash-e-tanhai-e-sahra na rahe

shahr ki khae hawa baadiya-paima na rahe

wo to diwana hai basti mein rahe ya na rahe

ye zaruri hai hijab-e-ruKH-e-laila na rahe

gila-e-zaur na ho shikwa-e-bedad na ho

ishq aazad hai kyun husn bhi aazad na ho

ahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman hai

aiman is se koi sahra na koi gulshan hai

is nai aag ka aqwam-e-kuhan indhan hai

millat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairahan hai

aaj bhi ho jo brahim ka iman paida

aag kar sakti hai andaz-e-gulistan paida

dekh kar rang-e-chaman ho na pareshan mali

Kaukab-e-ghuncha se shaKHen hain chamakne wali

KHas o KHashak se hota hai gulistan KHali

ghul-bar-andaz hai KHun-e-shohda ki lali

rang gardun ka zara dekh to unnabi hai

ye nikalte hue suraj ki ufuq-tabi hai

ummaten gulshan-e-hasti mein samar-chida bhi hain

aur mahrum-e-samar bhi hain KHizan-dida bhi hain

saikDon naKHl hain kahida bhi baalida bhi hain

saikDon batn-e-chaman mein abhi poshida bhi hain

naKHl-e-islam namuna hai birau-mandi ka

phal hai ye saikDon sadiyon ki chaman-bandi ka

pak hai gard-e-watan se sar-e-daman tera

tu wo yusuf hai ki har misr hai kanan tera

qafila ho na sakega kabhi viran tera

ghair yak-bang-e-dara kuchh nahin saman tera

naKHl-e-shama asti o dar shola do-resha-e-tu

aaqibat-soz bawad saya-e-andesha-e-tu

tu na miT jaega iran ke miT jaane se

nashsha-e-mai ko talluq nahin paimane se

hai ayan yurish-e-tatar ke afsane se

pasban mil gae kabe ko sanam-KHane se

kashti-e-haq ka zamane mein sahaara tu hai

asr-e-nau-raat hai dhundla sa sitara tu hai

hai jo hangama bapa yurish-e-bulghaari ka

ghafilon ke liye paigham hai bedari ka

tu samajhta hai ye saman hai dil-azari ka

imtihan hai tere isar ka KHuddari ka

kyun hirasan hai sahil-e-faras-e-ada se

nur-e-haq bujh na sakega nafas-e-ada se

chashm-e-aqwam se maKHfi hai haqiqat teri

hai abhi mahfil-e-hasti ko zarurat teri

zinda rakhti hai zamane ko hararat teri

kaukab-e-qismat-e-imkan hai KHilafat teri

waqt-e-fursat hai kahan kaam abhi baqi hai

nur-e-tauhid ka itmam abhi baqi hai

misl-e-bu qaid hai ghunche mein pareshan ho ja

raKHt-bar-dosh hawa-e-chamanistan ho ja

hai tunak-maya tu zarre se bayaban ho ja

naghma-e-mauj hai hangama-e-tufan ho ja

quwwat-e-ishq se har past ko baala kar de

dahr mein ism-e-mohammad se ujala kar de

ho na ye phul to bulbul ka tarannum bhi na ho

chaman-e-dahr mein kaliyon ka tabassum bhi na ho

ye na saqi ho to phir mai bhi na ho KHum bhi na ho

bazm-e-tauhid bhi duniya mein na ho tum bhi na ho

KHema-e-aflak ka istada isi nam se hai

nabz-e-hasti tapish-amada isi nam se hai

dasht mein daman-e-kohsar mein maidan mein hai

bahr mein mauj ki aaghosh mein tufan mein hai

chin ke shahr maraqash ke bayaban mein hai

aur poshida musalman ke iman mein hai

chashm-e-aqwam ye nazzara abad tak dekhe

rifat-e-shan-e-rafana-laka-zikrak dekhe

mardum-e-chashm-e-zamin yani wo kali duniya

wo tumhaare shohda palne wali duniya

garmi-e-mehr ki parwarda hilali duniya

ishq wale jise kahte hain bilali duniya

tapish-andoz hai is nam se pare ki tarah

ghota-zan nur mein hai aankh ke tare ki tarah

aql hai teri sipar ishq hai shamshir teri

mere darwesh KHilafat hai jahangir teri

ma-siwa-allah ke liye aag hai takbir teri

tu musalman ho to taqdir hai tadbir teri

ki mohammad se wafa tu ne to hum tere hain

ye jahan chiz hai kya lauh-o-qalam tere hain

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now