qadam qadam par janāze rakkhe hue haiñ in ko uThāo jaao
ye dekhte kyā ho kaam merā nahīñ tumhārā ye kaam hai aaj aur kal kā
tum aaj meñ mahv ho ke shāyad ye sochte ho
na biitā kal aur na aane vaalā tumhārā kal hai
magar yūñhī soch meñ jo Duube to kuchh na hogā
janāze rakkhe hue haiñ in ko uThāo jaao
chalo janāzoñ ko ab uThāo
ye bahte aañsū baheñge kab tak uTho aur ab in ko poñchh Daalo
ye rāstā kab hai ik lahad hai
lahad ke andar to ik janāza hī baar pā.egā ye bhī socho
to kyā mashiyyat ke faisle se haTe haTe reñgte rahoge
janāze rakkhe hue haiñ in ko uThāo jaao
lahad khulī hai
lahad hai aise ki jaise bhūke kā lālchī kā muñh khulā huā ho
magar koī taaza aur taaza na ho mayassar to baasī luqma bhī us ke
andar na jaane paa.e
khulā dahan yuuñ khulā rahe jaise ik ḳhalā ho
uThāo jaldī uThāo āñkhoñ ke sāmne kuchh janāze rakkhe
hue haiñ in ko uThāo jaao
lahad meñ in ko abad kī ik gahrī niind meñ ġharq kar ke aao
agar ye murde lahad ke andar ga.e to shāyad
tumhārī murda hayāt bhī aaj jaag uTThe
qadam qadam par janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
ye dekhte kya ho kaam mera nahin tumhaara ye kaam hai aaj aur kal ka
tum aaj mein mahw ho ke shayad ye sochte ho
na bita kal aur na aane wala tumhaara kal hai
magar yunhi soch mein jo Dube to kuchh na hoga
janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
chalo janazon ko ab uThao
ye bahte aansu bahenge kab tak uTho aur ab in ko ponchh Dalo
ye rasta kab hai ek lahad hai
lahad ke andar to ek janaza hi bar paega ye bhi socho
to kya mashiyyat ke faisle se haTe haTe rengte rahoge
janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
lahad khuli hai
lahad hai aise ki jaise bhuke ka lalchi ka munh khula hua ho
magar koi taza aur taza na ho mayassar to basi luqma bhi us ke
andar na jaane pae
khula dahan yun khula rahe jaise ek KHala ho
uThao jaldi uThao aankhon ke samne kuchh janaze rakkhe
hue hain in ko uThao jao
lahad mein in ko abad ki ek gahri nind mein gharq kar ke aao
agar ye murde lahad ke andar gae to shayad
tumhaari murda hayat bhi aaj jag uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.