is mein meri to koi ghalati nahin
is meñ merī to koī ġhalatī nahīñ
maiñ jab paidā huī to
kisī ne mujh ko zinda dafnāyā nahīñ
jab mere par-o-bāl nikalnā shurūa hue
tab kisī ne mere paroñ ko nahīñ kaaTā
jab maiñ ne bolnā sīkhā
tab kisī ne merī zabān nahīñ kaaTī
jab maiñ ne apne pairoñ par chalnā sīkhā
tab kisī ne mere paañv nahīñ kaaTe
maiñ ne jab dekhnā shurūa kiyā
kisī ne merī āñkheñ nahīñ nocheñ
maiñ sochtī thī jab
kisī ne mujhe pāgal nahīñ kahā
maiñ likhtī thī jab
kisī ne mujh se qalam kyuuñ nahīñ chhīnā
mere janm se ab tak jo hotā rahā
vo kisī ne nahīñ badlā
ab meñ jaisī huuñ
use kaise badal luuñ
maiñ jaisī bhī huuñ
us meñ merī to koī ġhalatī nahīñ
is mein meri to koi ghalati nahin
main jab paida hui to
kisi ne mujh ko zinda dafnaya nahin
jab mere par-o-baal nikalna shurua hue
tab kisi ne mere paron ko nahin kaTa
jab main ne bolna sikha
tab kisi ne meri zaban nahin kaTi
jab main ne apne pairon par chalna sikha
tab kisi ne mere panw nahin kaTe
main ne jab dekhna shurua kiya
kisi ne meri aankhen nahin nochen
main sochti thi jab
kisi ne mujhe pagal nahin kaha
main likhti thi jab
kisi ne mujh se qalam kyun nahin chhina
mere janm se ab tak jo hota raha
wo kisi ne nahin badla
ab mein jaisi hun
use kaise badal lun
main jaisi bhi hun
us mein meri to koi ghalati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.