is se ziyaada kuchh nahin
maiñ nahīñ jāntā ki yahāñ se kisī ne mujh se kuchh kahā
yā vahāñ se kisī ne tum se kuchh kahā
yā kisī ne kuchh bhī nahīñ kahā
to binā kuchh kahe hue hī kuchh sun liyā hogā
niiñd meñ chalte hue aadmī ke liye
hamvār raah bhī khaa.ī ban jaatī hai
aur kahīñ bhī girne ke liye
girne vaale ko bhī kuchh batāyā nahīñ jaatā
aur agar girāne vaalā ḳhudā ke dil meñ baiThā ho
to girne vaale ko
mahz ye batāne ke liye ki chalo uTho
tumheñ girāyā jaane vaalā hai
to kyā vo use dekh saktā hai
so kyuuñ na baat vahīñ se shurūa kī jaa.e
jahāñ se aadmī kī zaat ne hī
aadmī kī zaat se kahā
ki agar saat samundaroñ se bhī baḌh kar
tumhāre aañsū aur tumhāre ġham hoñge
to chalo mil ke baañT leñge
aur tumheñ itnā hañsā.eñ
ki jīvan bhar kabhī rone ke liye
ek aañsū bhī nahīñ milegā
magar vo ye nahīñ jāntī hogī
ki kabhī niiñd ko niiñd aa jaatī hai
bilkul vaise hī
jaise maut ko bhī maut aatī hai
koī soyā huā peḌ bhī
kisī so.e hue peḌ meñ so jaatā hai
aur yahī vo samay hotā hai
jab zindagī ke tamām kaam
bahut ḳhuub karte hue
aadmī kī nazar ke sāmne bhī
tārīk dīvār aa jaatī hai
so yahāñ tak pahuñch ke ma.alūm huā
ki kuchh bhī to nahīñ thā
ki agar kuchh hotā bhī
to us ke hone se pahle
bahut kuchh ho chukā hotā
koī kisī ke liye kabhī nahīñ jaagā
koī kisī ke liye kabhī nahīñ royā
koī kisī ke liye kabhī nahīñ jalā
koī kisī ke liye kabhī nahīñ bujhā
kisī bahut baḌe jhuuT se mile hue
kisī bahut baḌe sach meñ
na koī jhuuT miltā hai na koī sach
main nahin jaanta ki yahan se kisi ne mujh se kuchh kaha
ya wahan se kisi ne tum se kuchh kaha
ya kisi ne kuchh bhi nahin kaha
to bina kuchh kahe hue hi kuchh sun liya hoga
nind mein chalte hue aadmi ke liye
hamwar rah bhi khai ban jati hai
aur kahin bhi girne ke liye
girne wale ko bhi kuchh bataya nahin jata
aur agar girane wala KHuda ke dil mein baiTha ho
to girne wale ko
mahz ye batane ke liye ki chalo uTho
tumhein giraya jaane wala hai
to kya wo use dekh sakta hai
so kyun na baat wahin se shurua ki jae
jahan se aadmi ki zat ne hi
aadmi ki zat se kaha
ki agar sat samundaron se bhi baDh kar
tumhaare aansu aur tumhaare gham honge
to chalo mil ke banT lenge
aur tumhein itna hansaen
ki jiwan bhar kabhi rone ke liye
ek aansu bhi nahin milega
magar wo ye nahin jaanti hogi
ki kabhi nind ko nind aa jati hai
bilkul waise hi
jaise maut ko bhi maut aati hai
koi soya hua peD bhi
kisi soe hue peD mein so jata hai
aur yahi wo samay hota hai
jab zindagi ke tamam kaam
bahut KHub karte hue
aadmi ki nazar ke samne bhi
tarik diwar aa jati hai
so yahan tak pahunch ke malum hua
ki kuchh bhi to nahin tha
ki agar kuchh hota bhi
to us ke hone se pahle
bahut kuchh ho chuka hota
koi kisi ke liye kabhi nahin jaga
koi kisi ke liye kabhi nahin roya
koi kisi ke liye kabhi nahin jala
koi kisi ke liye kabhi nahin bujha
kisi bahut baDe jhuT se mile hue
kisi bahut baDe sach mein
na koi jhuT milta hai na koi sach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.