is shahr mein ab aaina-samani karo ho
is shahr meñ ab ā.ina-sāmānī karo ho
tum jis pe azal se hī hukmrānī karo ho
ik arsa huā kūcha-e-jānāñ huā vīrān
phir bhī tum isī shahr kī nigarānī karo ho
phuul ugte the jis jā vahīñ ug aa.eñ haiñ kāñTe
kyā aise gulistāñ kī nigahbānī karo ho
har baat sar-e-bazm bhalā kartā hai koī
kyuuñ apne hī jazbāt kī uryānī karo ho
paḌ jaa.eñ haiñ afkār meñ shub.hāt kī girheñ
jab baat bhī tum sūrat-e-yazdānī karo ho
dikhlāo ho ummīd ko mauhūm sī ik lau
so.e hue jazbāt meñ tuġhyānī karo ho
dushman pe bhī tum chashm-e-karam rakkho ho apnī
kis shaan se tum us kī bhī mehmānī karo ho
kyā baat hai kyuuñ badle hue rakkho ho tevar
kyuuñ mere har ik lafz ko isyānī karo ho
uTh jaa.eñ jo is dar se batāo to kahāñ jaa.eñ
kyā faisla haq meñ mire irfānī karo ho
hastī ġham-e-daurāñ meñ miTā do ho tum apnī
phir dil ko faqat nazr-e-pashemānī karo ho
hairān hai ulfat ki is uslūb pe 'asrā'
kyā roko ho kaahe kī farāvānī karo ho
is shahr mein ab aaina-samani karo ho
tum jis pe azal se hi hukmrani karo ho
ek arsa hua kucha-e-jaanan hua viran
phir bhi tum isi shahr ki nigarani karo ho
phul ugte the jis ja wahin ug aaen hain kanTe
kya aise gulistan ki nigahbani karo ho
har baat sar-e-bazm bhala karta hai koi
kyun apne hi jazbaat ki uryani karo ho
paD jaen hain afkar mein shubhat ki girhen
jab baat bhi tum surat-e-yazdani karo ho
dikhlao ho ummid ko mauhum si ek lau
soe hue jazbaat mein tughyani karo ho
dushman pe bhi tum chashm-e-karam rakkho ho apni
kis shan se tum us ki bhi mehmani karo ho
kya baat hai kyun badle hue rakkho ho tewar
kyun mere har ek lafz ko isyani karo ho
uTh jaen jo is dar se batao to kahan jaen
kya faisla haq mein mere irfani karo ho
hasti gham-e-dauran mein miTa do ho tum apni
phir dil ko faqat nazr-e-pashemani karo ho
hairan hai ulfat ki is uslub pe 'asra'
kya roko ho kahe ki farawani karo ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.