is tarah ki baaton mein ehtiyat karte hain
zindagī kī rāhoñ meñ
bārhā ye dekhā hai
sirf sun nahīñ rakkhā
ḳhud bhī āzmāyā hai
tajraboñ se sābit hai
jo bhī paḌhte aa.e haiñ
us ko Thiik paayā hai
is tarah kī bātoñ se
manziloñ se pahle hī
saath chhūT jaate haiñ
log ruuTh jaate haiñ
ye tumheñ batā duuñ maiñ
chāhatoñ ke rishte meñ
phir girah nahīñ lagtī
lag bhī jaa.e to us meñ
vo kashish nahīñ hotī
ek phīkā phīkā sā
rābta to hotā hai
tāzgī nahīñ rahtī
ruuh ke ta.alluq meñ
zindagī nahīñ rahtī
baat vo nahīñ bantī
dostī nahīñ rahtī
laakh baar mil kar bhī
dil kabhī nahīñ milte
zehn ke jharokhoñ meñ
yaad ke darīchoñ meñ
titliyoñ ke rañgoñ ke
phuul phir nahīñ khilte
is liye maiñ kahtā huuñ
is tarah kī bātoñ meñ
ehtiyāt karte haiñ
is tarah kī bātoñ se
ijtināb karte haiñ
zindagi ki rahon mein
barha ye dekha hai
sirf sun nahin rakkha
KHud bhi aazmaya hai
tajrabon se sabit hai
jo bhi paDhte aae hain
us ko Thik paya hai
is tarah ki baaton se
manzilon se pahle hi
sath chhuT jate hain
log ruTh jate hain
ye tumhein bata dun main
chahaton ke rishte mein
phir girah nahin lagti
lag bhi jae to us mein
wo kashish nahin hoti
ek phika phika sa
rabta to hota hai
tazgi nahin rahti
ruh ke talluq mein
zindagi nahin rahti
baat wo nahin banti
dosti nahin rahti
lakh bar mil kar bhi
dil kabhi nahin milte
zehn ke jharokhon mein
yaad ke darichon mein
titliyon ke rangon ke
phul phir nahin khilte
is liye main kahta hun
is tarah ki baaton mein
ehtiyat karte hain
is tarah ki baaton se
ijtinab karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.