is waqt ghazal ki baat na kar
santān hañse to kaise hañse
is vaqt hai maatā ḳhatre meñ
sansār ke parbat kā raaja
hai apnā himāla ḳhatre meñ
hai sāmnā kitne ḳhatroñ kā
hai desh kī siimā ḳhatre meñ
ai dost vatan se ghaat na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
mehñdī huī piilī kitnoñ kī
sindūr luTe haiñ kitnoñ ke
haiñ chūḌiyāñ ThanDī kitnoñ kī
armān jale haiñ kitnoñ ke
is chiin ke zālim hāthoñ se
sansār phuñke haiñ kitnoñ ke
muskān kī tū barsāt na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
mat kaaT kapaT kar maatā se
denā hai jo kuchh īmān se de
ye parashn vatan kī laaj kā hai
jī khol ke de jī jaan se de
gaurav kī hifāzat kar apne
de dhan bhī to pyāre aan se de
tū daan na de ḳhairāt na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
jis ghar meñ barastā thā jīvan
chhā.ī hai vahāñ par vīrānī
beva huiiñ kitnī sundariyāñ
maare ga.e kitne senānī
kyuuñ josh nahīñ aatā tujh ko
hai ḳhuun ragoñ meñ yā paanī
āzādī ke din ko raat na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
sunte haiñ musībat aa.egī
aa.egī to dekhā jā.egā
jis ne hameñ kāyer samjhā hai
us desh se samjhā jā.egā
har shoḳh adā se khel chuke
ab ḳhuun se khelā jā.egā
aise meñ hameñ be-hāt na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
ab band pe gaayā jā.egā
ye saaz na chheḌe jā.eñge
le rakh de Thikāne se ye ġhazal
marne se bache to gā.eñge
hai saath hamāre sachchā.ī
ham pā ke vijay muskā.eñge
jiitī huī baazī maat na kar
is vaqt ġhazal kī baat na kar
santan hanse to kaise hanse
is waqt hai mata KHatre mein
sansar ke parbat ka raja
hai apna himala KHatre mein
hai samna kitne KHatron ka
hai desh ki sima KHatre mein
ai dost watan se ghat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
mehndi hui pili kitnon ki
sindur luTe hain kitnon ke
hain chuDiyan ThanDi kitnon ki
arman jale hain kitnon ke
is chin ke zalim hathon se
sansar phunke hain kitnon ke
muskan ki tu barsat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
mat kaT kapaT kar mata se
dena hai jo kuchh iman se de
ye parashn watan ki laj ka hai
ji khol ke de ji jaan se de
gauraw ki hifazat kar apne
de dhan bhi to pyare aan se de
tu dan na de KHairaat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
jis ghar mein barasta tha jiwan
chhai hai wahan par virani
bewa huin kitni sundariyan
mare gae kitne senani
kyun josh nahin aata tujh ko
hai KHun ragon mein ya pani
aazadi ke din ko raat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
sunte hain musibat aaegi
aaegi to dekha jaega
jis ne hamein kayer samjha hai
us desh se samjha jaega
har shoKH ada se khel chuke
ab KHun se khela jaega
aise mein hamein be-hat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
ab band pe gaya jaega
ye saz na chheDe jaenge
le rakh de Thikane se ye ghazal
marne se bache to gaenge
hai sath hamare sachchai
hum pa ke wijay muskaenge
jiti hui bazi mat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 125)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.