is waqt to yun lagta hai
is vaqt to yuuñ lagtā hai ab kuchh bhī nahīñ hai
mahtāb na sūraj, na añdherā na saverā
āñkhoñ ke darīchoñ pe kisī husn kī chilman
aur dil kī panāhoñ meñ kisī dard kā Derā
mumkin hai koī vahm thaa, mumkin hai sunā ho
galiyoñ meñ kisī chaap kā ik āḳhirī pherā
shāḳhoñ meñ ḳhayāloñ ke ghane peḌ kī shāyad
ab aa ke karegā na koī ḳhvāb baserā
ik bair na ik mehr na ik rabt na rishta
terā koī apnā, na parāyā koī merā
maanā ki ye sunsān ghaḌī saḳht kaḌī hai
lekin mire dil ye to faqat ik hī ghaḌī hai
himmat karo jiine ko to ik umr paḌī hai
is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai
mahtab na suraj, na andhera na sawera
aankhon ke darichon pe kisi husn ki chilman
aur dil ki panahon mein kisi dard ka Dera
mumkin hai koi wahm tha, mumkin hai suna ho
galiyon mein kisi chap ka ek aaKHiri phera
shaKHon mein KHayalon ke ghane peD ki shayad
ab aa ke karega na koi KHwab basera
ek bair na ek mehr na ek rabt na rishta
tera koi apna, na paraya koi mera
mana ki ye sunsan ghaDi saKHt kaDi hai
lekin mere dil ye to faqat ek hi ghaDi hai
himmat karo jine ko to ek umr paDi hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 703)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.