ishaare
shahr ke makānoñ ke
sard sā.ebānoñ ke
dilrubā thake saa.e
ḳhvāhishoñ se ghabrā.e
rah-ravoñ se kahte haiñ
raat kitnī vīrāñ hai
maut bāl-afshāñ hai
is ghane andhere meñ
ḳhvāhishoñ ke Dere meñ
dil ke chor baste haiñ
un ke paas jaane ke
laakh chor raste haiñ
shahr ke makanon ke
sard saebanon ke
dilruba thake sae
KHwahishon se ghabrae
rah-rawon se kahte hain
raat kitni viran hai
maut baal-afshan hai
is ghane andhere mein
KHwahishon ke Dere mein
dil ke chor baste hain
un ke pas jaane ke
lakh chor raste hain
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.