ishq aawara-mizaj
ishq āvāra-mizāj
vo musāfir to gayā
na koī us kī mahak hai ki jo de us kā pata
na koī naqsh-e-kaf-e-pā
na koī us kā nishāñ
koī talḳhī bhī tah-e-jām na chhoḌī us ne
zindagī baaqī hai
ek sanjīda hañsī
soch sī dil meñ basī
tez aa.ī huī saañs
zehn meñ thoḌe se vaqfe se khaTaktī huī phāñs
aur dukhtā huā dil
choT thī jis pe lagī
choT vaisī to nahīñ
dard baaqī to nahīñ
laakh maane na magar
kuchh pashemān sā dil
yuuñ badal jaane par
aap hairān sā dil
us ko kyā apnā pata
ye hai insān kā dil
koī patthar to nahīñ
jis pe miTtī nahīñ paḌ jaa.e jo ik baar lakīr
ishq aawara-mizaj
wo musafir to gaya
na koi us ki mahak hai ki jo de us ka pata
na koi naqsh-e-kaf-e-pa
na koi us ka nishan
koi talKHi bhi tah-e-jam na chhoDi us ne
zindagi baqi hai
ek sanjida hansi
soch si dil mein basi
tez aai hui sans
zehn mein thoDe se waqfe se khaTakti hui phans
aur dukhta hua dil
choT thi jis pe lagi
choT waisi to nahin
dard baqi to nahin
lakh mane na magar
kuchh pasheman sa dil
yun badal jaane par
aap hairan sa dil
us ko kya apna pata
ye hai insan ka dil
koi patthar to nahin
jis pe miTti nahin paD jae jo ek bar lakir
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 329)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.