ishq ki taqwim mein
Interesting Fact
A dialogue with Mr. Mushir Anwar
'mushīr'-uncle! ye sab bāteñ adhūrī haiñ
jo maiñ ne aap se kī thiiñ
jo mujh se aap ne kī haiñ
magar chaliye
abhī to jin kī botal
aur aadhī shaam baaqī hai
ye bāteñ phir se karte haiñ
'mushīr'-uncle! zamāna ishq se baḌh kar nahī hai
jo kahe jo kuchh kare
jo bhī dikhā.e
ishq se baḌh kar nahī hai
ishq to ḳhud ik zamāna hai
ye puurā ahd hai
ik daur hai
is daur meñ kyā kyā nahī hotā
kabhī ye daur daur-e-ibtilā hai
aur kabhī ik sarḳhushī
vāraftagī kā ahd-e-paiham hai
'mushīr'-uncle! kabhī mahbūb kā jab naam aa jaa.e
to merī saañs kī Dorī meñ
girheñ paḌne lagtī haiñ
ye maiñ aur aap donoñ jānte haiñ
jis tarah jaadū hai bar-haq
ishq bar-haq hai
zamīnoñ āsmānoñ
is jahāñ, baaqī jahānoñ meñ
zamān-e-ishq bar-haq hai
'mushīr'-uncle hamāre paas do hī rāste haiñ
mas.ala ye hai
ki donoñ rāste ab
ek hī jānib se aate
ek hī jānib ko jaate haiñ
ki maiñ aur aap donoñ jānte haiñ
jis tarah jaadū hai bar-haq
ishq bar-haq hai!
'mushir'-uncle! ye sab baaten adhuri hain
jo main ne aap se ki thin
jo mujh se aap ne ki hain
magar chaliye
abhi to jin ki botal
aur aadhi sham baqi hai
ye baaten phir se karte hain
'mushir'-uncle! zamana ishq se baDh kar nahi hai
jo kahe jo kuchh kare
jo bhi dikhae
ishq se baDh kar nahi hai
ishq to KHud ek zamana hai
ye pura ahd hai
ek daur hai
is daur mein kya kya nahi hota
kabhi ye daur daur-e-ibtila hai
aur kabhi ek sarKHushi
waraftagi ka ahd-e-paiham hai
'mushir'-uncle! kabhi mahbub ka jab nam aa jae
to meri sans ki Dori mein
girhen paDne lagti hain
ye main aur aap donon jaante hain
jis tarah jadu hai bar-haq
ishq bar-haq hai
zaminon aasmanon
is jahan, baqi jahanon mein
zaman-e-ishq bar-haq hai
'mushir'-uncle hamare pas do hi raste hain
masala ye hai
ki donon raste ab
ek hi jaanib se aate
ek hi jaanib ko jate hain
ki main aur aap donon jaante hain
jis tarah jadu hai bar-haq
ishq bar-haq hai!
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.