ishq mahi baghair aab
jāgte sote ye ḳhayāl aayā
tujh ko sochā to ye savāl aayā
tum kahāñ aur maiñ kahāñ jānāñ
fāsle kyuuñ haiñ darmiyāñ jānāñ
yuuñ mile ham ki mil nahīñ paa.e
phuul hasrat ke khil nahīñ paa.e
barq par nāma-bar savār huā
dhuup meñ abr sāya-dār huā
phir ta.alluq ke taar TuuT ga.e
ham pe sadme hazār TuuT ga.e
bebasī kī ajiib shaam aa.ī
zindagī misl-e-intiqām aa.ī
phir tirī diid kī sa.ādat ho
vaqt ko iid kī bashārat ho
ġhair mumkin hai is tarah honā
ġham nahānā hai daaġh hai dhonā
mas.ala aa gayā hai paanī kā
ya.anī dariyā kī be-zabānī kā
qurbat-e-jāñ ke mushk hote hī
ik samundar ke ḳhushk hote hī
dard-e-sahrā nasīb hai apnā
ek vahshat raqīb hai apnā
silsila duur tak sarāb kā hai
ishq maahī baġhair aab kā hai
jagte sote ye KHayal aaya
tujh ko socha to ye sawal aaya
tum kahan aur main kahan jaanan
fasle kyun hain darmiyan jaanan
yun mile hum ki mil nahin pae
phul hasrat ke khil nahin pae
barq par nama-bar sawar hua
dhup mein abr saya-dar hua
phir talluq ke tar TuT gae
hum pe sadme hazar TuT gae
bebasi ki ajib sham aai
zindagi misl-e-intiqam aai
phir teri did ki saadat ho
waqt ko id ki bashaarat ho
ghair mumkin hai is tarah hona
gham nahana hai dagh hai dhona
masala aa gaya hai pani ka
yani dariya ki be-zabani ka
qurbat-e-jaan ke mushk hote hi
ek samundar ke KHushk hote hi
dard-e-sahra nasib hai apna
ek wahshat raqib hai apna
silsila dur tak sarab ka hai
ishq mahi baghair aab ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.