ishq-o-dosti
ishq ko ek nazar kaafī hai
āgahī pahle se darkār nahīñ
dostī barsoñ kī ham-rāzī hai
jaldī-bāzī kā ye bāzār nahīñ
ho bhī saktī hai kabhī vo hālat
go ho muddat kā ḳhulūs aur niyāz
ek lamha meñ banātī hai jo gat
pyārī sūrat kabhī pyārī āvāz
ġhaur-o-fikr is ke sadā haiñ ham-dast
milne-julne se hai paidā hotī
garm-joshī kī hai mai se sarmast
dostī hai mirī dekhī bhālī
aql ke us meñ karishme dekho
kuchh bigaḌtī hai kuchh iThlātī hai
jab pahuñch jaatī hai us kī tah ko
tab ba-sad faḳhr ye samjhātī hai
na sune aur na hargiz dekhe
dostoñ meñ ho agar aib bhī aah
chāhiye yuuñ nazar-andāz kare
ki havā bhī nahīñ goyā āgāh
ishq meñ us kī kahāñ hai mohlat
kuchh bhī soche sune dekhe bhāle
kyā bhalā samjheñ vo us kī hālat
us kī mai se jo na huuñ matvāle
us ke asrār se ho kaun āgāh
be-qarārī kabhī mahviyyat hai
ḳhuub 'rāsiḳh' ne kahā hai vallāh
ishq ik zor hai kaifiyyat hai
ishq ko ek nazar kafi hai
aagahi pahle se darkar nahin
dosti barson ki ham-raazi hai
jaldi-bazi ka ye bazar nahin
ho bhi sakti hai kabhi wo haalat
go ho muddat ka KHulus aur niyaz
ek lamha mein banati hai jo gat
pyari surat kabhi pyari aawaz
ghaur-o-fikr is ke sada hain ham-dast
milne-julne se hai paida hoti
garm-joshi ki hai mai se sarmast
dosti hai meri dekhi bhaali
aql ke us mein karishme dekho
kuchh bigaDti hai kuchh iThlati hai
jab pahunch jati hai us ki tah ko
tab ba-sad faKHr ye samjhati hai
na sune aur na hargiz dekhe
doston mein ho agar aib bhi aah
chahiye yun nazar-andaz kare
ki hawa bhi nahin goya aagah
ishq mein us ki kahan hai mohlat
kuchh bhi soche sune dekhe bhaale
kya bhala samjhen wo us ki haalat
us ki mai se jo na hun matwale
us ke asrar se ho kaun aagah
be-qarari kabhi mahwiyyat hai
KHub 'rasiKH' ne kaha hai wallah
ishq ek zor hai kaifiyyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.