Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq se hai aashkar

Asghar Hasan Mujibi

ishq se hai aashkar

Asghar Hasan Mujibi

MORE BYAsghar Hasan Mujibi

    būd-o-nabūd-e-hayāt

    soz-e-dil-e-kā.enāt

    rāz-e-hayāt-o-mamāt

    rasm-o-rah-e-iltifāt

    jalva-e-zāt-o-sifāt

    ik jahān-e-mumkināt

    ishq se hai āshkār

    būd-o-nabūd-e-hayāt

    ishq tāsīr se

    tāb-o-tab-e-āftāb

    kaifiyat-e-iltihāb

    nūr-e-ruḳh-e-māhtāb

    qumquma-āsā hubāb

    tund-rūī-e-sahāb

    bahr meñ hai iztirāb

    ishq tāsīr se

    tāb-o-tab-e-āftāb

    ishq ke anvār se

    zindagī meñ chāñdnī

    ye chamak ye raushnī

    zindagānī ḳhushī

    rāstī dil-bastagī

    ishq se qaa.em huī

    rāh-o-rasm bāhamī

    ishq ke anvār se

    zindagī meñ chāñdnī

    ishq ke dam se hai

    shorish-e-bazm-e-jahāñ

    raunaq-e-kaun-o-makāñ

    jism meñ rūh-e-ravāñ

    zindagī-e-jāvedāñ

    tez-gāmī se ravāñ

    kārvāñ kārvāñ

    ishq ke dam se hai

    shorish-e-bazm-e-jahāñ

    ishq hai ummul-kitāb

    ishq ḳhāliq payām

    ishq hai ḳhair-ul-anām

    is hai aalī maqām

    kāmrān-o-shād-kām

    bhejte haiñ sub.h-o-shām

    is pe sab lākhoñ salām

    ishq hai ummul-kitāb

    ishq ḳhāliq payām

    bahr-e-be-pāyāñ hai ishq

    mauj bhī sāhil bhī ishq

    jāda-o-manzil bhī ishq

    muzhda-o-hāsil bhī ishq

    garmī-e-mahaz bhī ishq

    lailā-o-mahmil bhī ishq

    qātil o bismil bhī ishq

    bahr-e-be-pāyāñ hai ishq

    mauj bhī sāhil bhī ishq

    bud-o-nabud-e-hayat

    soz-e-dil-e-kaenat

    raaz-e-hayat-o-mamat

    rasm-o-rah-e-iltifat

    jalwa-e-zat-o-sifat

    ek jahan-e-mumkinat

    ishq se hai aashkar

    bud-o-nabud-e-hayat

    ishq ki tasir se

    tab-o-tab-e-aftab

    kaifiyat-e-iltihab

    nur-e-ruKH-e-mahtab

    qumquma-asa hubab

    tund-rui-e-sahab

    bahr mein hai iztirab

    ishq ki tasir se

    tab-o-tab-e-aftab

    ishq ke anwar se

    zindagi mein chandni

    ye chamak ye raushni

    zindagani ki KHushi

    rasti dil-bastagi

    ishq se qaem hui

    rah-o-rasm bahami

    ishq ke anwar se

    zindagi mein chandni

    ishq hi ke dam se hai

    shorish-e-bazm-e-jahan

    raunaq-e-kaun-o-makan

    jism mein ruh-e-rawan

    zindagi-e-jawedan

    tez-gami se rawan

    karwan ka karwan

    ishq hi ke dam se hai

    shorish-e-bazm-e-jahan

    ishq hai ummul-kitab

    ishq KHaliq ka payam

    ishq hai KHair-ul-anam

    is ka hai aali maqam

    kaamran-o-shad-kaam

    bhejte hain subh-o-sham

    is pe sab lakhon salam

    ishq hai ummul-kitab

    ishq KHaliq ka payam

    bahr-e-be-payan hai ishq

    mauj bhi sahil bhi ishq

    jada-o-manzil bhi ishq

    muzhda-o-hasil bhi ishq

    garmi-e-mahaz bhi ishq

    laila-o-mahmil bhi ishq

    qatil o bismil bhi ishq

    bahr-e-be-payan hai ishq

    mauj bhi sahil bhi ishq

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now