tin sawal
lafzoñ ḳhvāboñ ādarshoñ kī shahzādī ke tiin savāl
jin kī khoj meñ ek musāfir
apnā aap gañvā kar
shahroñ shahroñ phirtā
shaam mirī dahlīz pe Thahrā
vo kahtā thā
mere hoñThoñ kī rekhā.eñ
aur mirī āñkhoñ kī lahreñ
us kī shahzādī ke savāloñ jaisī haiñ
us ne mujh se ek diye aur pairāhan kā savāl kiyā
us ne mujh se paanī māñgā
kore soñdhe pyāle kī ḳhushbū sūñghī aur toḌ diyā
diye kī narm lavoñ ko chūmā
bujhā diyā
piile phūloñ kā pairāhan
nayan diye aur hoñTh kaTore
sub.h mirī dahlīz pe sab kuchh bikhrā thā
lafzon KHwabon aadarshon ki shahzadi ke tin sawal
jin ki khoj mein ek musafir
apna aap ganwa kar
shahron shahron phirta
sham meri dahliz pe Thahra
wo kahta tha
mere honThon ki rekhaen
aur meri aankhon ki lahren
us ki shahzadi ke sawalon jaisi hain
us ne mujh se ek diye aur pairahan ka sawal kiya
us ne mujh se pani manga
kore sondhe pyale ki KHushbu sunghi aur toD diya
diye ki narm lawon ko chuma
bujha diya
pile phulon ka pairahan
nayan diye aur honTh kaTore
subh meri dahliz pe sab kuchh bikhra tha
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 105)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.