ism-e-azam
maiñ mash.hūr ho gayā huuñ
achānak itnā ziyāda
ki vo log mujhe burā kahne lage haiñ
jo kabhī mujhe mile hī nahīñ
jo mujhe jānte hī nahīñ
māherīn-e-nafsiyāt kahte haiñ
ġhair-haqīqī duniyā meñ rahne vaale
jazbātī log
ḳhud ko hero samajh kar
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ meñ
apnī marzī ke vilen taḳhlīq kar lete haiñ
is ġhalat-fahmī kā ta.alluq
un ke shu.ūr se nahīñ hotā
un ke a.amāl se nahīñ hotā
un ke shajre se nahīñ hotā
ye ek zehnī āriza hai
is liye
mujhe kisī se shikāyat nahīñ
marīzoñ se hamdardī hai
aur thoḌī sī ḳhushī bhī
ki gāliyoñ se kalī karne vaale
kuchh logoñ ko
merā naam le kar
taskīn milne lagī hai
merā naam
ism-e-āzam ban gayā hai
main mashhur ho gaya hun
achanak itna ziyaada
ki wo log mujhe bura kahne lage hain
jo kabhi mujhe mile hi nahin
jo mujhe jaante hi nahin
maherin-e-nafsiyat kahte hain
ghair-haqiqi duniya mein rahne wale
jazbaati log
KHud ko hero samajh kar
jagti aankhon ke KHwabon mein
apni marzi ke wilen taKHliq kar lete hain
is ghalat-fahmi ka talluq
un ke shuur se nahin hota
un ke aamal se nahin hota
un ke shajre se nahin hota
ye ek zehni aariza hai
is liye
mujhe kisi se shikayat nahin
marizon se hamdardi hai
aur thoDi si KHushi bhi
ki galiyon se kali karne wale
kuchh logon ko
mera nam le kar
taskin milne lagi hai
mera nam
ism-e-azam ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.