ism
mujh par vārid huā hai
koī ism
jis kā hajm
zamān-o-makāñ se baḌā hai
be-par hai
magar uḌtā hai
be-āvāz hai
magar boltā hai
be-ghar hai magar
har ghar meñ hai
saañs letā hai
mere saath jiitā hai
mere dard meñ rahtā hai
mere dard meñ rahtā hai
mujh meñ lamha lamha utartā hai
mujh par warid hua hai
koi ism
jis ka hajm
zaman-o-makan se baDa hai
be-par hai
magar uDta hai
be-awaz hai
magar bolta hai
be-ghar hai magar
har ghar mein hai
sans leta hai
mere sath jita hai
mere dard mein rahta hai
mere dard mein rahta hai
mujh mein lamha lamha utarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.