israfil ki maut
marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo
vo ḳhudāoñ kā muqarrab vo ḳhudāvand-e-kalām
saut-e-insānī kī rūh-e-jāvedāñ
āsmānoñ kī nidā-e-be-karāñ
aaj sākit misl-e-harf-e-nā-tamām
marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo
aao isrāfīl ke is ḳhvāb-e-be-hañgām par aañsū bahā.eñ
āramīda hai vo yuuñ qarnā ke paas
jaise tūfāñ ne kināre par ugal Daalā use
reg-e-sāhil par chamaktī dhuup meñ chup chaap
apne suur ke pahlū meñ vo ḳhvābīda hai
us kī dastār us ke gesū us kī riish
kaise ḳhāk-ālūda haiñ
the kabhī jin kī taheñ būd-o-nabūd
kaise is kā suur is ke lab se duur
apnī chīḳhoñ apnī fariyādoñ meñ gum
jhilmilā uThte the jis se dair-o-zūd
marg-e-isrāfīl par aañsū bahāo
vo mujassam hamhama thā vo mujassam zamzama
vo azal se tā abad phailī huī ġhaibī sadāoñ kā nishāñ
marg-e-isrāfīl se
halqa dar halqa farishte nauha gar
ibn-e-ādam zulf-dar-ḳhāk-o-nazār
hazrat-e-yazdāñ kī āñkheñ ġham se taar
āsmānoñ kī safīr aatī nahīñ
ālam-e-lāhūt se koī nafīr aatī nahīñ
marg-e-isrāfīl se
is jahāñ par band āvāzoñ kā rizq
mutriboñ kā rizq aur sāzoñ kā rizq
ab muġhannī kis tarah gā.egā aur gā.egā kyā
sunñe vāloñ ke diloñ ke taar chup
ab koī raqqās kyā thirkegā lahrā.egā kyā
bazm ke farsh-o-dar-o-dīvār chup
ab ḳhatīb-e-shahr farmā.egā kyā
masjidoñ ke āstān-o-gumbad-o-mīnār chup
fikr kā sayyād apnā daam phailā.egā kyā
tā.irān-e-manzil-o-kohsār chup
marg-e-isrāfīl hai
gosh-e-shanvā kī lab-e-goyā kī maut
chashm-e-bīnā kī dil-e-dānā kī maut
thī isī ke dam se durveshoñ kī saarī hāv-hū
ahl-e-dil kī ahl-e-dil se guftugū
ahl-e-dil jo aaj gosha-gīr-o-surma-dar-gulū
ab tanā tā-hū bhī ġhā.eb aur yā-rab hā bhī gum
ab galī kūchoñ kī har aavā bhī gum
ye hamārā āḳhirī maljā bhī gum
marg-e-isrāfīl se
is jahāñ kā vaqt jaise so gayā pathrā gayā
jaise koī saarī āvāzoñ ko yaksar khā gayā
aisī tanhā.ī ki husn-e-tām yaad aatā nahīñ
aisā sannāTā ki apnā naam yaad aatā nahīñ
marg-e-isrāfīl se
dekhte rah jā.eñge duniyā ke aamir bhī
zabāñ-bandī ke ḳhvāb
jis meñ majbūroñ kī sargoshī to ho
us ḳhudāvandī ke ḳhvāb
The Death of Israphaeli
marg-e-israfil par aansu bahao
wo KHudaon ka muqarrab wo KHudawand-e-kalam
saut-e-insani ki ruh-e-jawedan
aasmanon ki nida-e-be-karan
aaj sakit misl-e-harf-e-na-tamam
marg-e-israfil par aansu bahao
aao israfil ke is KHwab-e-be-hangam par aansu bahaen
aaramida hai wo yun qarna ke pas
jaise tufan ne kinare par ugal Dala use
reg-e-sahil par chamakti dhup mein chup chap
apne sur ke pahlu mein wo KHwabida hai
us ki dastar us ke gesu us ki rish
kaise KHak-aluda hain
the kabhi jin ki tahen bud-o-nabud
kaise is ka sur is ke lab se dur
apni chiKHon apni fariyaadon mein gum
jhilmila uThte the jis se dair-o-zud
marg-e-israfil par aansu bahao
wo mujassam hamhama tha wo mujassam zamzama
wo azal se ta abad phaili hui ghaibi sadaon ka nishan
marg-e-israfil se
halqa dar halqa farishte nauha gar
ibn-e-adam zulf-dar-KHak-o-nazar
hazrat-e-yazdan ki aankhen gham se tar
aasmanon ki safir aati nahin
aalam-e-lahut se koi nafir aati nahin
marg-e-israfil se
is jahan par band aawazon ka rizq
mutribon ka rizq aur sazon ka rizq
ab mughanni kis tarah gaega aur gaega kya
sunne walon ke dilon ke tar chup
ab koi raqqas kya thirkega lahraega kya
bazm ke farsh-o-dar-o-diwar chup
ab KHatib-e-shahr farmaega kya
masjidon ke aastan-o-gumbad-o-minar chup
fikr ka sayyaad apna dam phailaega kya
tairan-e-manzil-o-kohsar chup
marg-e-israfil hai
gosh-e-shanwa ki lab-e-goya ki maut
chashm-e-bina ki dil-e-dana ki maut
thi isi ke dam se durweshon ki sari haw-hu
ahl-e-dil ki ahl-e-dil se guftugu
ahl-e-dil jo aaj gosha-gir-o-surma-dar-gulu
ab tana ta-hu bhi ghaeb aur ya-rab ha bhi gum
ab gali kuchon ki har aawa bhi gum
ye hamara aaKHiri malja bhi gum
marg-e-israfil se
is jahan ka waqt jaise so gaya pathra gaya
jaise koi sari aawazon ko yaksar kha gaya
aisi tanhai ki husn-e-tam yaad aata nahin
aisa sannaTa ki apna nam yaad aata nahin
marg-e-israfil se
dekhte rah jaenge duniya ke aamir bhi
zaban-bandi ke KHwab
jis mein majburon ki sargoshi to ho
us KHudawandi ke KHwab
The Death of Israphaeli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.