istiara
isti.āra
udaas rātoñ kī tīrgī meñ
agar koī naġhma-rez taa.ir
ḳhud apnī marzī se raah bhūlā huā parinda
ki jis kā nanhā sā dil
mohabbat ke saare jazboñ se āshnā ho
ki jis ke par dukh chuke hoñ lekin
vo uḌ rahā ho
na.ī fazāoñ ko DhūñDhtā ho
maiñ us ko āvāz de rahā huuñ
vahī to hai merā isti.āra
maiñ chāhtā huuñ ki saath mere
vo giit gaa.e
na.ī rutoñ ke mohabbatoñ ke
zamīñ ko ḳhush-rañg karne vaalī
tamām gul-rez sā.atoñ ke
istiara
udas raaton ki tirgi mein
agar koi naghma-rez tair
KHud apni marzi se rah bhula hua parinda
ki jis ka nanha sa dil
mohabbat ke sare jazbon se aashna ho
ki jis ke par dukh chuke hon lekin
wo uD raha ho
nai fazaon ko DhunDhta ho
main us ko aawaz de raha hun
wahi to hai mera istiara
main chahta hun ki sath mere
wo git gae
nai ruton ke mohabbaton ke
zamin ko KHush-rang karne wali
tamam gul-rez saaton ke
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 73)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.