ittifaq
tum se bichhaḌte vaqt maiñ ne
sochā thā kis tarah jiyūñgā!
kis kis se chhup ke rah sakūñgā
aañsū kahāñ kahāñ piyūñgā!
ghar meñ agar kasī ne pūchhā!
''kyā baat hai udaas kyuuñ ho''
Dar thā mujhe ki ro paḌūñgā!
lekin ye ittifāq dekho
maiñ ghar gayā to mere ghar kā
ek ek fard ro rahā thaa!
tum se bichhaDte waqt main ne
socha tha kis tarah jiyunga!
kis kis se chhup ke rah sakunga
aansu kahan kahan piyunga!
ghar mein agar kasi ne puchha!
kya baat hai udas kyun ho
Dar tha mujhe ki ro paDunga!
lekin ye ittifaq dekho
main ghar gaya to mere ghar ka
ek ek fard ro raha tha!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 137)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.