ittifaqat
aaj, is sā.at-e-duzdīda-o-nāyāb meñ bhii,
jism hai ḳhvāb se lazzat-kash-e-ḳhamyāza tirā
tere mizhgāñ ke tale niiñd kī shabnam kā nuzūl
jis se Dhal jaane ko hai ġhāza tirā
zindagī tere liye ras bhare ḳhvāboñ kā hujūm
zindagī mere liye kāvish-e-bedārī hai:
ittifāqāt ko dekh
is hasīñ raat ko dekh
toḌ de vahm ke jaal
chhoḌ de apne shabistānoñ ko jaane kā ḳhayāl,
ḳhauf-e-mauhūm tirī ruuh pe kyā taarī hai!
itnā be-sarfa nahīñ terā jamāl
is junūñ-ḳhez hasīñ raat ko dekh
aaj, is sā.at-e-duzdīda-o-nāyāb meñ bhii,
tishnagī ruuh kī āsūda na ho
jab tirā jism javānī meñ hai nīsān-e-bahār
rañg-o-nik.hat kā fishār!
phuul haiñ, ghaas hai, ashjār haiñ, dīvāreñ haiñ
aur kuchh saa.e ki haiñ muḳhtasar o tīra-o-tār,
tujh ko kyā is se ġharaz hai ki ḳhudā hai ki nahīñ?
dekh pattoñ meñ laraztī huī kirnoñ kā nafūz
sarsarātī huī baḌhtī hai ragoñ meñ jaise
avvalīñ bāda-gusārī meñ na.ī tund sharāb
tujh ko kyā is se ġharaz hai ki ḳhudā hai ki nahīñ
kahkashāñ apnī tamannāoñ kā hai rāh-guzār
kaash is raah pe mil kar kabhī parvāz kareñ
ik na.ī ziist kā dar baaz kareñ!
āsmāñ duur hai lekin ye zamīñ hai nazdīk
aa isī ḳhaak ko ham jalva-gah-e-rāz kareñ!
rūheñ mil saktī nahīñ haiñ to ye lab hī mil jā.eñ,
aa isī lazzat-e-jāved kā āġhāz kareñ!
sub.h jab baaġh meñ ras lene ko zambūr aa.e
us ke bose se hoñ mad.hosh saman aur gulāb
shabnamī ghaas pe do paikar-e-yaḳh-basta mileñ,
aur ḳhudā hai to pashemāñ ho jaa.e!
aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi,
jism hai KHwab se lazzat-kash-e-KHamyaza tera
tere mizhgan ke tale nind ki shabnam ka nuzul
jis se Dhal jaane ko hai ghaza tera
zindagi tere liye ras bhare KHwabon ka hujum
zindagi mere liye kawish-e-bedari hai:
ittifaqat ko dekh
is hasin raat ko dekh
toD de wahm ke jal
chhoD de apne shabistanon ko jaane ka KHayal,
KHauf-e-mauhum teri ruh pe kya tari hai!
itna be-sarfa nahin tera jamal
is junun-KHez hasin raat ko dekh
aaj, is saat-e-duzdida-o-nayab mein bhi,
tishnagi ruh ki aasuda na ho
jab tera jism jawani mein hai nisan-e-bahaar
rang-o-nikhat ka fishaar!
phul hain, ghas hai, ashjar hain, diwaren hain
aur kuchh sae ki hain muKHtasar o tira-o-tar,
tujh ko kya is se gharaz hai ki KHuda hai ki nahin?
dekh patton mein larazti hui kirnon ka nafuz
sarsaraati hui baDhti hai ragon mein jaise
awwalin baada-gusari mein nai tund sharab
tujh ko kya is se gharaz hai ki KHuda hai ki nahin
kahkashan apni tamannaon ka hai rah-guzar
kash is rah pe mil kar kabhi parwaz karen
ek nai zist ka dar baz karen!
aasman dur hai lekin ye zamin hai nazdik
aa isi KHak ko hum jalwa-gah-e-raaz karen!
ruhen mil sakti nahin hain to ye lab hi mil jaen,
aa isi lazzat-e-jawed ka aaghaz karen!
subh jab bagh mein ras lene ko zambur aae
us ke bose se hon madhosh saman aur gulab
shabnami ghas pe do paikar-e-yaKH-basta milen,
aur KHuda hai to pasheman ho jae!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.