itwar ki dopahar
itvār kī dopahar to hamesha hī achchhī hotī hai
bilkul tumhārī tarah
be-fikr be-parvāh āzād
maiñ ne bhī hamesha ise apne hī tarīqe se bitāyā hai
par jaane kyuuñ
kuchh arse se jab bhī ye sukūn bharā vaqt apne saath bitāne kī koshish kī
tum dūr-darāz ke vaqtoñ se nikal ke chup-chāp mere qarīb baiTh jaate ho
mere hāthoñ kī khulī kitāb band kar ke
apne hī qisse sunāne lagte ho
december kī sardī
bārish kī būñde
aur itvār kī dopahar
vahī qissa jo tum ne jiyā thā kabhī
mere saath
lag-bhag har hafte dohrāte ho
aur mujhe ehsās bhī nahīñ hotā ki maiñ qaid huuñ
kuchh āzād se lamhoñ meñ hamesha ke liye
itwar ki dopahar to hamesha hi achchhi hoti hai
bilkul tumhaari tarah
be-fikr be-parwah aazad
main ne bhi hamesha ise apne hi tariqe se bitaya hai
par jaane kyun
kuchh arse se jab bhi ye sukun bhara waqt apne sath bitane ki koshish ki
tum dur-daraaz ke waqton se nikal ke chup-chap mere qarib baiTh jate ho
mere hathon ki khuli kitab band kar ke
apne hi qisse sunane lagte ho
december ki sardi
barish ki bunde
aur itwar ki dopahar
wahi qissa jo tum ne jiya tha kabhi
mere sath
lag-bhag har hafte dohraate ho
aur mujhe ehsas bhi nahin hota ki main qaid hun
kuchh aazad se lamhon mein hamesha ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.