iyyaka-nabodo wa iyyaka-nastain
sochtī huuñ
jalte bujhte ḳheme the
tishnagī kī shiddat se
chhoTe chhoTe bachchoñ ke band hotī āñkheñ thiiñ
ashqīya kā narġha thā
fat.h ke naqqāre the
be-hayā ishāre the
bībiyoñ ke bainoñ meñ
shaam ke dhundalke meñ
sajda-gah pe sar rakh kar
ābidoñ kī zīnat ne
hamd jab kiyā hogā
arsh hil gayā hogā
sajda ro paḌā hogā
sajda ro paḌā hogā
sochti hun
jalte bujhte KHeme the
tishnagi ki shiddat se
chhoTe chhoTe bachchon ke band hoti aankhen thin
ashqiya ka nargha tha
fath ke naqqare the
be-haya ishaare the
bibiyon ke bainon mein
sham ke dhundalke mein
sajda-gah pe sar rakh kar
aabidon ki zinat ne
hamd jab kiya hoga
arsh hil gaya hoga
sajda ro paDa hoga
sajda ro paDa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.