izafi zaruraton ke liye ek nazm
har aadmī kī qismat meñ
ek na ek sazā hotī hai
mere liye har baar
tum se duur rahne kī sazā muntaḳhab kī jā.egī
nā-insāfī ke pesh-e-nazar
sazā kā kaam kisī munsif par nahīñ chhoḌā jā.egā
lekin is ke bāvajūd
vo tauhīn kā vo notice nahīñ jaarī kar sakeñge
jis meñ vahī hoñge mudda.ī
vahī hoñge munsif
hamārī shahriyat ko ḳhaam kar diyā gayā hai
achchhā huā ki hamāre diloñ ko
ābgīne tarāshne vāloñ par nahīñ chhoḌā gayā
ek āvāra-manush ne
mujhe chaak chalānā
aur miTTī meñ dil rakhnā sikhāyā
maiñ har raat apne dil ko
miTTī meñ milātā aur na.ī na.ī tarah gūñdhtā huuñ
har sub.h us mulk ke liye
ek nayā ḳhvāb Dhāltā huuñ
jis ke liye juġhrāfi.e kī tārīḳh meñ
koī jagah nahīñ hogī
abhī āsmānoñ par rahne vāloñ ko
mere jarā.em kā ilm nahīñ huā
varna vo mere sar par
ek aadh āsmān zarūr girā dete
ehtiyātan
maiñ ne
tumheñ in saarī bātoñ
aur apne ḳhvāboñ se duur rakhā hai
isī liye ab tak
kisī musavvir yā mujassama-sāz ne
tumheñ koī shakl nahīñ dī
maiñ ne tumheñ un ḳhayāloñ se bhī duur rakhā hai
jin tak koī shā.er rasā.ī hāsil kar sake
yahāñ tak ki
maiñ ne tumheñ apnī rasā.ī se bhī duur rakhā hai
taaki tumhāre vo libās ālūda na hoñ
jinheñ pahan kar
tum ā.īñe ke sāmne nahīñ jaatī hogī
jinheñ pahan kar
tum baaġh kī sair
aur bāzār jaanā bhī mauqūf kar detī hogī
maiñ ne
apne liye sazā tajvīz karne kā iḳhtiyār
kisī ko nahīñ diyā
tumheñ bhī nahīñ
varna tum mere liye qurbat tajvīz kar saktī thiiñ
har aadmi ki qismat mein
ek na ek saza hoti hai
mere liye har bar
tum se dur rahne ki saza muntaKHab ki jaegi
na-insafi ke pesh-e-nazar
saza ka kaam kisi munsif par nahin chhoDa jaega
lekin is ke bawajud
wo tauhin ka wo notice nahin jari kar sakenge
jis mein wahi honge muddai
wahi honge munsif
hamari shahriyat ko KHam kar diya gaya hai
achchha hua ki hamare dilon ko
aabgine tarashne walon par nahin chhoDa gaya
ek aawara-manush ne
mujhe chaak chalana
aur miTTi mein dil rakhna sikhaya
main har raat apne dil ko
miTTi mein milata aur nai nai tarah gundhta hun
har subh us mulk ke liye
ek naya KHwab Dhaalta hun
jis ke liye jughrafie ki tariKH mein
koi jagah nahin hogi
abhi aasmanon par rahne walon ko
mere jaraem ka ilm nahin hua
warna wo mere sar par
ek aadh aasman zarur gira dete
ehtiyatan
main ne
tumhein in sari baaton
aur apne KHwabon se dur rakha hai
isi liye ab tak
kisi musawwir ya mujassama-saz ne
tumhein koi shakl nahin di
main ne tumhein un KHayalon se bhi dur rakha hai
jin tak koi shaer rasai hasil kar sake
yahan tak ki
main ne tumhein apni rasai se bhi dur rakha hai
taki tumhaare wo libas aaluda na hon
jinhen pahan kar
tum aaine ke samne nahin jati hogi
jinhen pahan kar
tum bagh ki sair
aur bazar jaana bhi mauquf kar deti hogi
main ne
apne liye saza tajwiz karne ka iKHtiyar
kisi ko nahin diya
tumhein bhi nahin
warna tum mere liye qurbat tajwiz kar sakti thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.