izhaar aur rasai
mū-qalam, saaz gul-e-tāza thirakte paañv
baat kahne ke bahāne haiñ bahut
aadmī kis se magar baat kare?
baat jab hīla-e-taqrīb-e-mulāqāt na ho
aur rasā.ī ki hamesha se hai kotāh-kamand
baat kī ġhāyat-e-ġhāyāt na ho!
ek zarra kaf-e-ḳhākistar kā
sharar-e-jasta ke mānind kabhī
kisī an-jānī tamannā kī ḳhalish se masrūr
apne siine ke dahakte hue tannūr kī lau se majbūr
ek zarra ki hamesha se hai ḳhud se mahjūr
kabhī nairañg-e-sadā ban ke jhalak uThtā hai
aab o rañg o ḳhat o mehrāb kā paivand kabhī
aur bantā hai ma.ānī kā ḳhudāvand kabhī
vo ḳhudāvand jo pā-basta-e-ānāt na ho!
isī ik zarre kī tābānī se
kisī so.e hue raqqās ke dast-o-pā meñ
kaañp uThte haiñ mah-o-sāl ke niile girdāb
isī ik zarre kī hairānī se
sher ban jaate haiñ ik kūza-gar-e-pīr ke ḳhvāb
isī ik zarra-e-lā-fānī se
ḳhisht-e-be-māya ko miltā hai davām
bām-o-dar ko vo sahar jis kī kabhī raat na ho!
aadmī kis se magar baat kare?
mū-qalam, saaz gul-e-tāza thirakte paañv
aadmī sochtā rah jaatā hai,
is qadar baar kahāñ, kis ke liye, kaise uThā.ūñ
aur phir kis ke liye baat karūñ?
mu-qalam, saz gul-e-taza thirakte panw
baat kahne ke bahane hain bahut
aadmi kis se magar baat kare?
baat jab hila-e-taqrib-e-mulaqat na ho
aur rasai ki hamesha se hai kotah-kamand
baat ki ghayat-e-ghayat na ho!
ek zarra kaf-e-KHakistar ka
sharar-e-jasta ke manind kabhi
kisi an-jaani tamanna ki KHalish se masrur
apne sine ke dahakte hue tannur ki lau se majbur
ek zarra ki hamesha se hai KHud se mahjur
kabhi nairang-e-sada ban ke jhalak uThta hai
aab o rang o KHat o mehrab ka paiwand kabhi
aur banta hai maani ka KHudawand kabhi
wo KHudawand jo pa-basta-e-anat na ho!
isi ek zarre ki tabani se
kisi soe hue raqqas ke dast-o-pa mein
kanp uThte hain mah-o-sal ke nile girdab
isi ek zarre ki hairani se
sher ban jate hain ek kuza-gar-e-pir ke KHwab
isi ek zarra-e-la-fani se
KHisht-e-be-maya ko milta hai dawam
baam-o-dar ko wo sahar jis ki kabhi raat na ho!
aadmi kis se magar baat kare?
mu-qalam, saz gul-e-taza thirakte panw
aadmi sochta rah jata hai,
is qadar bar kahan, kis ke liye, kaise uThaun
aur phir kis ke liye baat karun?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.