izhaar
dabī huī hai mire laboñ meñ kahīñ pe vo aah bhī jo ab tak
na sho.ala ban ke bhaḌak sakī hai na ashk-e-be-sūd ban ke niklī
ghuTī huī hai nafas kī had meñ jalā diyā jo jalā sakī hai
na sham.a ban kar pighal sakī hai na aaj tak duud ban ke niklī
diyā hai be-shak mirī nazar ko vo ek partav jo dard baḳhshe
na mujh pe ġhālib hī aa sakī hai na merā masjūd ban ke niklī
dabi hui hai mere labon mein kahin pe wo aah bhi jo ab tak
na shoala ban ke bhaDak saki hai na ashk-e-be-sud ban ke nikli
ghuTi hui hai nafas ki had mein jala diya jo jala saki hai
na shama ban kar pighal saki hai na aaj tak dud ban ke nikli
diya hai be-shak meri nazar ko wo ek partaw jo dard baKHshe
na mujh pe ghaalib hi aa saki hai na mera masjud ban ke nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.