izhaar-e-mohabbat
tum itne hasīñ ho tum aise hasīñ ho
haqīqat meñ tum to surayyā jabīñ ho
maiñ kah duuñ agar kuchh tumheñ bhī yaqīñ ho
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
laboñ par hañsī hai gulābī gulābī
nigāhoñ kī jumbish sharābī sharābī
tumhārā chehra kitābī kitābī
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tumhārī nigāheñ payām-e-mohabbat
ḳhamoshī tumhārī kalām-e-mohabbat
salāmat tumhīñ se hai nām-e-mohabbat
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tumhārā tajammul qayāmat qayāmat
tumhāre ishāre mohabbat mohabbat
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tumhārā sarāpā hai mahshar-ba-dāmāñ
mujassam ho ġhārat-gar-e-dīn-o-īmāñ
na pūchho mire dil kī hasrat mirī jaañ
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tumhārā tabassum guloñ kī javānī
tumhārā tarannum mai-e-arġhavānī
tumhārā takallum kitāb-e-ma.ānī
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tumhārī nazar kaif-o-mastī liye hai
sharāb-e-mohabbat ke sāġhar piye hai
ye 'afzal' kā dil bhī irāda kiye hai
tumheñ pyaar karne ko jī chāhtā hai
tum itne hasin ho tum aise hasin ho
haqiqat mein tum to surayya jabin ho
main kah dun agar kuchh tumhein bhi yaqin ho
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
labon par hansi hai gulabi gulabi
nigahon ki jumbish sharabi sharabi
tumhaara chehra kitabi kitabi
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
tumhaari nigahen payam-e-mohabbat
KHamoshi tumhaari kalam-e-mohabbat
salamat tumhin se hai nam-e-mohabbat
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
tumhaara tajammul qayamat qayamat
tumhaare ishaare mohabbat mohabbat
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
tumhaara sarapa hai mahshar-ba-daman
mujassam ho ghaarat-gar-e-din-o-iman
na puchho mere dil ki hasrat meri jaan
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
tumhaara tabassum gulon ki jawani
tumhaara tarannum mai-e-arghawani
tumhaara takallum kitab-e-maani
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
tumhaari nazar kaif-o-masti liye hai
sharab-e-mohabbat ke saghar piye hai
ye 'afzal' ka dil bhi irada kiye hai
tumhein pyar karne ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.