izhaar ka matruk rasta
iz.hār mohabbat ke liye lāzmī nahīñ
ki phuul ḳharīde jaa.eñ
kisī hotel meñ kamra liyā jaa.e
yā parinde āzād kiye jaa.eñ
iz.hār-e-mohabbat ke liye tum apne bose
kāġhaz meñ lapeT kar bhej saktī ho
jis tarah maiñ ne apne jazbe
tumheñ post kar diye haiñ
izhaar mohabbat ke liye lazmi nahin
ki phul KHaride jaen
kisi hotel mein kamra liya jae
ya parinde aazad kiye jaen
izhaar-e-mohabbat ke liye tum apne bose
kaghaz mein lapeT kar bhej sakti ho
jis tarah main ne apne jazbe
tumhein post kar diye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.